Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abu Mohammad Wasil Bahraichi's Photo'

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

1922 - 2018 | Bahraich, India

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 17

hañsā karte haiñ akasr log dīvānoñ bātoñ par

jahāñ vaale nahīñ samjhe mohabbat zabāñ shāyad

hansa karte hain akasr log diwanon ki baaton par

jahan wale nahin samjhe mohabbat ki zaban shayad

rah-e-vafā meñ unhīñ ḳhushī baat karo

vo zindagī haiñ to phir zindagī baat karo

rah-e-wafa mein unhin ki KHushi ki baat karo

wo zindagi hain to phir zindagi ki baat karo

tire ḳhayāl meñ maiñ huuñ mire ḳhayāl meñ

mire baġhair tirī dāstāñ rahe na rahe

tere KHayal mein main hun mere KHayal mein tu

mere baghair teri dastan rahe na rahe

mizāj-e-husn to ik haal par rahā qaa.em

luTāne vāloñ ne sab kuchh luTā ke dekh liyā

mizaj-e-husn to ek haal par raha qaem

luTane walon ne sab kuchh luTa ke dekh liya

mujhe vo bātoñ bātoñ meñ agar dīvāna kah dete

to dīvānoñ meñ merī mo'atabar dīvāngī hotī

mujhe wo baaton baaton mein agar diwana kah dete

to diwanon mein meri mo'atabar diwangi hoti

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now