Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Moid Rahbar's Photo'

Moid Rahbar

1985 | Lucknow, India

Moid Rahbar

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 34

anā-parast huuñ mil jā.ūñ ḳhaak meñ lekin

ḳharīd saktā nahīñ koī maal zar se mujhe

ana-parast hun mil jaun KHak mein lekin

KHarid sakta nahin koi mal zar se mujhe

  • Share this

ham musāfir haiñ kahāñ ghar taraf dekhte haiñ

har ghaḌī miil ke patthar taraf dekhte haiñ

hum musafir hain kahan ghar ki taraf dekhte hain

har ghaDi mil ke patthar ki taraf dekhte hain

  • Share this

gar kuchh nahīñ hai yaar tire paas ġham to hai

ḳhush-nasīb hai ki tirī aañkh nam to hai

gar kuchh nahin hai yar tere pas gham to hai

tu KHush-nasib hai ki teri aankh nam to hai

  • Share this

laakh tabdīliyāñ bāzāroñ meñ aa.eñ rahbar

maiñ vo sikka huuñ jo har daur meñ chal jā.ūñgā

lakh tabdiliyan bazaron mein aaen rahbar

main wo sikka hun jo har daur mein chal jaunga

  • Share this

pahle ye sochtā rahtā thā ki tanhā ho jā.ūñ

aaj tanhā huuñ to tanhā.ī se Dar lagtā hai

pahle ye sochta rahta tha ki tanha ho jaun

aaj tanha hun to tanhai se Dar lagta hai

  • Share this

BOOKS 1

 

More Artists From "Lucknow"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now