Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Munawwar Rana's Photo'

Munawwar Rana

1952 - 2024 | Lucknow, India

Popular poet having dominating presence in mushairas.

Popular poet having dominating presence in mushairas.

Sher of Munawwar Rana

80.9K
Favorite

SORT BY

miTTī badan kar diyā miTTī ke havāle

miTTī ko kahīñ tāj-mahal meñ nahīñ rakkhā

miTTi ka badan kar diya miTTi ke hawale

miTTi ko kahin taj-mahal mein nahin rakkha

dahlīz par sar khole khaḌī hogī zarūrat

ab aise meñ ghar jaanā munāsib nahīñ hogā

dahliz par sar khole khaDi hogi zarurat

ab aise mein ghar jaana munasib nahin hoga

maañ ḳhvāb meñ aa kar ye batā jaatī hai har roz

bosīda oḌhī huī is shaal meñ ham haiñ

man KHwab mein aa kar ye bata jati hai har roz

bosida si oDhi hui is shaal mein hum hain

vo aadmī hai to ehsās-e-jurm kaafī hai

vo sang hai to use sangsār kyā karnā

wo aadmi hai to ehsas-e-jurm kafi hai

wo sang hai to use sangsar kya karna

maiñ duniyā ke me.aar pe puurā nahīñ utrā

duniyā mire me.aar pe puurī nahīñ utrī

main duniya ke mear pe pura nahin utra

duniya mere mear pe puri nahin utri

dekhnā hai tujhe sahrā to pareshāñ kyuuñ hai

kuchh dinoñ ke liye mujh se mirī āñkheñ le

dekhna hai tujhe sahra to pareshan kyun hai

kuchh dinon ke liye mujh se meri aankhen le ja

bhaTaktī hai havas din-rāt sone dukānoñ meñ

ġharībī kaan chhidvātī hai tinkā Daal detī hai

bhaTakti hai hawas din-raat sone ki dukanon mein

gharibi kan chhidwati hai tinka Dal deti hai

adālatoñ se insāf surḳh-rū hai magar

adālatoñ meñ insāf haar jaatā hai

adalaton hi se insaf surKH-ru hai magar

adalaton hi mein insaf haar jata hai

ham sab jo duā thī use sun liyā gayā

phūloñ tarah aap ko bhī chun liyā gayā

hum sab ki jo dua thi use sun liya gaya

phulon ki tarah aap ko bhi chun liya gaya

jab bhī kashtī mirī sailāb meñ aa jaatī hai

maañ duā kartī huī ḳhvāb meñ aa jaatī hai

jab bhi kashti meri sailab mein aa jati hai

man dua karti hui KHwab mein aa jati hai

nikalne nahīñ detī haiñ ashkoñ ko mirī āñkheñ

ki ye bachche hamesha maañ nigarānī meñ rahte haiñ

nikalne hi nahin deti hain ashkon ko meri aankhen

ki ye bachche hamesha man ki nigarani mein rahte hain

bachchoñ fees un kitābeñ qalam davāt

merī ġharīb āñkhoñ meñ schōl chubh gayā

bachchon ki fees un ki kitaben qalam dawat

meri gharib aankhon mein school chubh gaya

barbād kar diyā hameñ pardes ne magar

maañ sab se kah rahī hai ki beTā maze meñ hai

barbaad kar diya hamein pardes ne magar

man sab se kah rahi hai ki beTa maze mein hai

khilaunoñ dukānoñ taraf se aap kyuuñ guzre

ye bachche tamannā hai ye samjhautā nahīñ kartī

khilaunon ki dukanon ki taraf se aap kyun guzre

ye bachche ki tamanna hai ye samjhauta nahin karti

mirī hathelī pe hoñToñ se aisī mohr lagā

ki umr bhar ke liye maiñ bhī surḳh-rū ho jā.ūñ

meri hatheli pe honTon se aisi mohr laga

ki umr bhar ke liye main bhi surKH-ru ho jaun

maiñ ik din be-ḳhayālī meñ kahīñ sach bol baiThā thā

maiñ koshish kar chukā huuñ muñh kaḌvāhaT nahīñ jaatī

main ek din be-KHayali mein kahin sach bol baiTha tha

main koshish kar chuka hun munh ki kaDwahaT nahin jati

kal apne-āp ko dekhā thā maañ āñkhoñ meñ

ye ā.īna hameñ būḌhā nahīñ batātā hai

kal apne-ap ko dekha tha man ki aankhon mein

ye aaina hamein buDha nahin batata hai

phir karbalā ke ba.ad dikhā.ī nahīñ diyā

aisā koī bhī shaḳhs ki pyāsā kaheñ jise

phir karbala ke baad dikhai nahin diya

aisa koi bhi shaKHs ki pyasa kahen jise

maiñ rāh-e-ishq ke har pech-o-ḳham se vāqif huuñ

ye rāsta mire ghar se nikal ke jaatā hai

main rah-e-ishq ke har pech-o-KHam se waqif hun

ye rasta mere ghar se nikal ke jata hai

tamām jism ko āñkheñ banā ke raah tako

tamām khel mohabbat meñ intizār hai

tamam jism ko aankhen bana ke rah tako

tamam khel mohabbat mein intizar ka hai

mujhe bhī us judā.ī satātī rahtī hai

use bhī ḳhvāb meñ beTā dikhā.ī detā hai

mujhe bhi us ki judai satati rahti hai

use bhi KHwab mein beTa dikhai deta hai

ġharīboñ par to mausam bhī hukūmat karte rahte haiñ

kabhī bārish kabhī garmī kabhī ThanDak qabza hai

gharibon par to mausam bhi hukumat karte rahte hain

kabhi barish kabhi garmi kabhi ThanDak ka qabza hai

kisī ke zaḳhm par chāhat se paTTī kaun bāñdhegā

agar bahneñ nahīñ hoñgī to rākhī kaun bāñdhegā

kisi ke zaKHm par chahat se paTTi kaun bandhega

agar bahnen nahin hongi to rakhi kaun bandhega

vahī huā ki maiñ āñkhoñ meñ us Duub gayā

vo kah rahā thā bhañvar patā nahīñ chaltā

wahi hua ki main aankhon mein us ki Dub gaya

wo kah raha tha bhanwar ka pata nahin chalta

tere dāman meñ sitāre haiñ to hoñge ai falak

mujh ko apnī maañ mailī oḌhnī achchhī lagī

tere daman mein sitare hain to honge ai falak

mujh ko apni man ki maili oDhni achchhi lagi

ye aisā qarz hai jo maiñ adā kar nahīñ saktā

maiñ jab tak ghar na lauTūñ merī maañ sajde meñ rahtī hai

ye aisa qarz hai jo main ada kar hi nahin sakta

main jab tak ghar na lauTun meri man sajde mein rahti hai

chaltī phirtī huī ā.ankhoñ se azaañ dekhī hai

maiñ ne jannat to nahīñ dekhī hai maañ dekhī hai

chalti phirti hui aaankhon se azan dekhi hai

main ne jannat to nahin dekhi hai man dekhi hai

din bhar mashaqqat se badan chuur hai lekin

maañ ne mujhe dekhā to thakan bhuul ga.ī hai

din bhar ki mashaqqat se badan chur hai lekin

man ne mujhe dekha to thakan bhul gai hai

ab aap marzī hai sambhāleñ na sambhāleñ

ḳhushbū tarah aap ke rūmāl meñ ham haiñ

ab aap ki marzi hai sambhaalen na sambhaalen

KHushbu ki tarah aap ke rumal mein hum hain

tujhe ma.alūm hai in phephaḌoñ meñ zaḳhm aa.e haiñ

tirī yādoñ ik nannhī chiñgārī bachāne meñ

tujhe malum hai in phephaDon mein zaKHm aae hain

teri yaadon ki ek nannhi si chingari bachane mein

hamārī dostī se dushmanī sharmā.ī rahtī hai

ham akbar haiñ hamāre dil meñ jodhā.bā.ī rahtī hai

hamari dosti se dushmani sharmai rahti hai

hum akbar hain hamare dil mein jodhabai rahti hai

is tarah mere gunāhoñ ko vo dho detī hai

maañ bahut ġhusse meñ hotī hai to ro detī hai

is tarah mere gunahon ko wo dho deti hai

man bahut ghusse mein hoti hai to ro deti hai

ham nahīñ the to kyā kamī thī yahāñ

ham na hoñge to kyā kamī hogī

hum nahin the to kya kami thi yahan

hum na honge to kya kami hogi

pachpan baras umr to hone ko aa ga.ī

lekin vo chehra ā.ankhoñ se ojhal na ho sakā

pachpan baras ki umr to hone ko aa gai

lekin wo chehra aaankhon se ojhal na ho saka

jitne bikhre hue kāġhaz haiñ vo yakjā kar le

raat chupke se kahā aa ke havā ne ham se

jitne bikhre hue kaghaz hain wo yakja kar le

raat chupke se kaha aa ke hawa ne hum se

ye soch ke maañ baap ḳhidmat meñ lagā huuñ

is peḌ saayā mire bachchoñ ko milegā

ye soch ke man bap ki KHidmat mein laga hun

is peD ka saya mere bachchon ko milega

maiñ isī miTTī se uTThā thā bagūle tarah

aur phir ik din isī miTTī meñ miTTī mil ga.ī

main isi miTTi se uTTha tha bagule ki tarah

aur phir ek din isi miTTi mein miTTi mil gai

munavvar maañ ke aage yuuñ kabhī khul kar nahīñ ronā

jahāñ buniyād ho itnī namī achchhī nahīñ hotī

munawwar man ke aage yun kabhi khul kar nahin rona

jahan buniyaad ho itni nami achchhi nahin hoti

tumhāre shahr meñ mayyat ko sab kāñdhā nahīñ dete

hamāre gaañv meñ chhappar bhī sab mil kar uThāte haiñ

tumhaare shahr mein mayyat ko sab kandha nahin dete

hamare ganw mein chhappar bhi sab mil kar uThate hain

lipaT jaatā huuñ maañ se aur mausī muskurātī hai

maiñ urdu meñ ġhazal kahtā huuñ hindī muskurātī hai

lipaT jata hun man se aur mausi muskuraati hai

main urdu mein ghazal kahta hun hindi muskuraati hai

bojh uThānā shauq kahāñ hai majbūrī saudā hai

rahte rahte station par log qulī ho jaate haiñ

bojh uThana shauq kahan hai majburi ka sauda hai

rahte rahte station par log quli ho jate hain

ab judā.ī ke safar ko mire āsān karo

tum mujhe ḳhvāb meñ aa kar na pareshān karo

ab judai ke safar ko mere aasan karo

tum mujhe KHwab mein aa kar na pareshan karo

kuchh bikhrī huī yādoñ ke qisse bhī bahut the

kuchh us ne bhī bāloñ ko khulā chhoḌ diyā thā

kuchh bikhri hui yaadon ke qisse bhi bahut the

kuchh us ne bhi baalon ko khula chhoD diya tha

shahr ke raste hoñ chāhe gaañv pagDañDiyāñ

maañ uñglī thaam kar chalnā bahut achchhā lagā

shahr ke raste hon chahe ganw ki pagDanDiyan

man ki ungli tham kar chalna bahut achchha laga

shāyad jalī haiñ phir kahīñ nazdīk bastiyāñ

guzre haiñ kuchh parinde idhar se Dare hue

shayad jali hain phir kahin nazdik bastiyan

guzre hain kuchh parinde idhar se Dare hue

daulat se mohabbat to nahīñ thī mujhe lekin

bachchoñ ne khilaunoñ taraf dekh liyā thā

daulat se mohabbat to nahin thi mujhe lekin

bachchon ne khilaunon ki taraf dekh liya tha

bhaTaktī hai havas din-rāt sone dukānoñ par

ġharībī kaan chhidvātī hai tinkā Daal letī hai

bhaTakti hai hawas din-raat sone ki dukanon par

gharibi kan chhidwati hai tinka Dal leti hai

tumhārī āñkhoñ tauhīn hai zarā socho

tumhārā chāhne vaalā sharāb piitā hai

tumhaari aankhon ki tauhin hai zara socho

tumhaara chahne wala sharab pita hai

tum ne jab shahr ko jañgal meñ badal Daalā hai

phir to ab qais ko jañgal se nikal aane do

tum ne jab shahr ko jangal mein badal Dala hai

phir to ab qais ko jangal se nikal aane do

vus.at-e-sahrā bhī muñh apnā chhupā kar niklī

saarī duniyā mire kamre ke barābar niklī

wusat-e-sahra bhi munh apna chhupa kar nikli

sari duniya mere kamre ke barabar nikli

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now