Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
P P Srivastava Rind's Photo'

P P Srivastava Rind

1950 | Noida, India

Well-known poet/Living in Noida

Well-known poet/Living in Noida

Sher of P P Srivastava Rind

maanā ki zalzala thā yahāñ kam bahut kam

bastī meñ bach ga.e the makāñ kam bahut kam

mana ki zalzala tha yahan kam bahut hi kam

basti mein bach gae the makan kam bahut hi kam

āstīnoñ meñ chhupā kar saañp bhī laa.e the log

shahr is bhiiḌ meñ kuchh log bāzīgar bhī the

aastinon mein chhupa kar sanp bhi lae the log

shahr ki is bhiD mein kuchh log bazigar bhi the

koī dastak na koī aahaT thī

muddatoñ vahm ke shikār the ham

koi dastak na koi aahaT thi

muddaton wahm ke shikar the hum

āsūdgī ne thapkiyāñ de kar sulā diyā

ghar zarūratoñ ne jagāyā to Dar lagā

aasudgi ne thapkiyan de kar sula diya

ghar ki zaruraton ne jagaya to Dar laga

ḳhvāhishoñ aañch meñ tapte badan lazzateñ haiñ

aur vahshī raat hai gumrāhiyāñ sar par uThā.e

KHwahishon ki aanch mein tapte badan ki lazzaten hain

aur wahshi raat hai gumrahiyan sar par uThae

surḳh mausam kahānī to purānī ho ga.ī

khul gayā mausam to saare shahr meñ charchā huā

surKH mausam ki kahani to purani ho gai

khul gaya mausam to sare shahr mein charcha hua

barf-manzar dhuul ke bādal havā ke qahqahe

jo kabhī dahlīz ke bāhar the vo andar bhī the

barf-manzar dhul ke baadal hawa ke qahqahe

jo kabhi dahliz ke bahar the wo andar bhi the

chāhtā hai dil kisī se raaz bāteñ kare

phuul aadhī raat āñgan meñ hai mahkā huā

chahta hai dil kisi se raaz ki baaten kare

phul aadhi raat ka aangan mein hai mahka hua

raat ham ne jugnuoñ sab dukāneñ bech diiñ

sub.h ko nīlām karne ke liye kuchh ghar bhī the

raat hum ne jugnuon ki sab dukanen bech din

subh ko nilam karne ke liye kuchh ghar bhi the

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now