aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Akbar Haideri Kashmiri's Photo'

Akbar Haideri Kashmiri

1929 | Srinagar, India

Sher of Akbar Haideri Kashmiri

307
Favorite

SORT BY

sabr kartī rahī be-chārgī

zulm hotā rahā mazlūm par

sabr karti hi rahi be-chaargi

zulm hota hi raha mazlum par

ai ajal kuchh zindagī haq bhī hai

zindagī terī amānat sahī

ai ajal kuchh zindagi ka haq bhi hai

zindagi teri amanat hi sahi

har nafas minnat-kash-e-ālām hai

zindagī shāyad isī naam hai

har nafas minnat-kash-e-alam hai

zindagi shayad isi ka nam hai

jabr sahtā huuñ magar kab tak sahūñ insān huuñ

sabr kartā huuñ magar dil sabr ke qābil nahīñ

jabr sahta hun magar kab tak sahun insan hun

sabr karta hun magar dil sabr ke qabil nahin

dīdanī hai ab shikast-e-zabt be-chārgī

muskurātā huuñ magar dil dard se labrez hai

didani hai ab shikast-e-zabt ki be-chaargi

muskuraata hun magar dil dard se labrez hai

aah ab ḳhuddārī-e-akbar kahāñ

ho ga.ī vo bhī ġhulām-e-ārzū

aah ab KHuddari-e-akbar kahan

ho gai wo bhi ghulam-e-arzu

husn tafsīr bhī kuchh kījiye

ishq be-shak ik ḳhayāl-e-ḳhām hai

husn ki tafsir bhi kuchh kijiye

ishq be-shak ek KHayal-e-KHam hai

zindagī hai chashm-e-ibrat meñ abhī

kuchh nahīñ to aish-o-ishrat sahī

zindagi hai chashm-e-ibrat mein abhi

kuchh nahin to aish-o-ishrat hi sahi

ishq sāda-dilī hai har taraf chhā.ī huī

bārgāh-e-husn meñ har aarzū nau-ḳhez hai

ishq ki sada-dili hai har taraf chhai hui

bargah-e-husn mein har aarzu nau-KHez hai

bazm-e-husn-o-ishq meñ 'akbar' afsurda-dilī

daad ke laa.eq nahīñ be-dād ke qābil nahīñ

bazm-e-husn-o-ishq mein 'akbar' ki afsurda-dili

dad ke laeq nahin be-dad ke qabil nahin

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now