- Index of Books 187939
-
-
Book Categories
-
Activities53
Children's Literature2065
Drama1024 Education376 Essays & Profiles1506 Fiction1701 Health106 History3549Humorous746 Journalism215 Language & Literature1965 Letters811
Life Style24 Medicine1029 Movements300 Novel5017 Political370 Religions4848Research & Criticism7293Short-story3046 Sketches292 Social issues118 Sufism / Mystic2270Text Books566 Translation4549Women's writings6350-
Book Categories
- Bait Bazi14
- Catalogue / Index5
- Couplets69
- Deewan1489
- Doha53
- Epics106
- Exegesis209
- Geet63
- Ghazal1320
- Haiku12
- Hamd53
- Humorous37
- Intikhab1651
- Keh mukarni7
- Kulliyat712
- Mahiya20
- Majmua5301
- Marsiya400
- Masnavi880
- Musaddas60
- Naat597
- Nazm1306
- Others78
- Paheli16
- Qasida199
- Qawwali18
- Qit'a71
- Quatrain306
- Quintuple16
- Rekhti13
- Remainders27
- Salaam35
- Sehra10
- shahr-Ashob, Hajw, Zatal Nama20
- Tareekh-Goi30
- Translation74
- Wasokht28
Sher of Arsh Siddiqui
haañ samundar meñ utar lekin ubharne kī bhī soch
Dūbne se pahle gahrā.ī kā andāza lagā
Arsh Siddiquihan samundar mein utar lekin ubharne ki bhi soch
Dubne se pahle gahrai ka andaza laga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik terī be-ruḳhī se zamāna ḳhafā huā
ai sañg-dil tujhe bhī ḳhabar hai ki kyā huā
Arsh Siddiquiek teri be-ruKHi se zamana KHafa hua
ai sang-dil tujhe bhi KHabar hai ki kya hua
ham ki māyūs nahīñ haiñ unheñ pā hī leñge
log kahte haiñ ki DhūñDe se ḳhudā miltā hai
Arsh Siddiquihum ki mayus nahin hain unhen pa hi lenge
log kahte hain ki DhunDe se KHuda milta hai
bas yūñhī tanhā rahūñgā is safar meñ umr bhar
jis taraf koī nahīñ jaatā udhar jaatā huuñ maiñ
Arsh Siddiquibas yunhi tanha rahunga is safar mein umr bhar
jis taraf koi nahin jata udhar jata hun main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo ayādat ko to aayā thā magar jaate hue
apnī tasvīreñ bhī kamre se uThā kar le gayā
Arsh Siddiquiwo ayaadat ko to aaya tha magar jate hue
apni taswiren bhi kamre se uTha kar le gaya
dekh rah jaa.e na tū ḳhvāhish ke gumbad meñ asiir
ghar banātā hai to sab se pahle darvāza lagā
Arsh Siddiquidekh rah jae na tu KHwahish ke gumbad mein asir
ghar banata hai to sab se pahle darwaza laga
-
Tag : Mashwara
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ pairvi-e-ahl-e-siyāsat nahīñ kartā
ik rāsta in sab se judā chāhiye mujh ko
Arsh Siddiquimain pairwi-e-ahl-e-siyasat nahin karta
ek rasta in sab se juda chahiye mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek lamhe ko tum mile the magar
umr bhar dil ko ham masalte rahe
Arsh Siddiquiek lamhe ko tum mile the magar
umr bhar dil ko hum masalte rahe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham ne chāhā thā terī chaal chaleñ
haa.e ham apnī chaal se bhī ga.e
Arsh Siddiquihum ne chaha tha teri chaal chalen
hae hum apni chaal se bhi gae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zamāne bhar ne kahā 'arsh' jo, ḳhushī se sahā
par ek lafz jo us ne kahā sahā na gayā
Arsh Siddiquizamane bhar ne kaha 'arsh' jo, KHushi se saha
par ek lafz jo us ne kaha saha na gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
uThtī to hai sau baar pe mujh tak nahīñ aatī
is shahr meñ chaltī hai havā sahmī huī sī
Arsh SiddiquiuThti to hai sau bar pe mujh tak nahin aati
is shahr mein chalti hai hawa sahmi hui si
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
join rekhta family!
Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here
-
Activities53
Children's Literature2065
-
