aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida's Photo'

Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

1868 - 1927 | Delhi, India

One of the leaders of Indian National Freedom movement. One of the founders of Jamia Millia Islamia, Delhi.

One of the leaders of Indian National Freedom movement. One of the founders of Jamia Millia Islamia, Delhi.

Sher of Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

dard ko rahne bhī de dil meñ davā ho jā.egī

maut aa.egī to ai hamdam shifā ho jā.egī

dard ko rahne bhi de dil mein dawa ho jaegi

maut aaegi to ai hamdam shifa ho jaegi

duniyā bas is se aur ziyāda nahīñ hai kuchh

kuchh roz haiñ guzārne aur kuchh guzar ga.e

duniya bas is se aur ziyaada nahin hai kuchh

kuchh roz hain guzarne aur kuchh guzar gae

charchā hamārā ishq ne kyuuñ jā-ba-jā kiyā

dil us ko de diyā to bhalā kyā burā kiyā

charcha hamara ishq ne kyun ja-ba-ja kiya

dil us ko de diya to bhala kya bura kiya

ruḳhsār par hai rañg-e-hayā faroġh aaj

bose naam maiñ ne liyā vo nikhar ga.e

ruKHsar par hai rang-e-haya ka farogh aaj

bose ka nam main ne liya wo nikhar gae

vo sar kyā ki jis meñ tumhārā na ho ḳhayāl

vo dil kyā ki jis meñ tumhārā guzar na ho

wo sar hi kya ki jis mein tumhaara na ho KHayal

wo dil hi kya ki jis mein tumhaara guzar na ho

mai na ho sahī kuchh to ho rindoñ ke liye

isī hiile se bujhegī havas-e-jām-e-sharāb

mai na ho bu hi sahi kuchh to ho rindon ke liye

isi hile se bujhegi hawas-e-jam-e-sharab

bhalā aur ghar aa.e mire kyūñ-kar yaqīñ kar luuñ

taḳhayyul kyuuñ na ho merā tirī āvāz-e-pā kyuuñ ho

bhala tu aur ghar aae mere kyun-kar yaqin kar lun

taKHayyul kyun na ho mera teri aawaz-e-pa kyun ho

ta.assub bar-taraf masjid ho ho kū-e-but-ḳhāna

rah-e-dildār par jaatā qadam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī

tassub bar-taraf masjid ho ya ho ku-e-but-KHana

rah-e-dildar par jata qadam yun bhi hai aur yun bhi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now