Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mohammad Iftikhar Shafi's Photo'

Mohammad Iftikhar Shafi

1973 | Pakistan

Sher of Mohammad Iftikhar Shafi

628
Favorite

SORT BY

sunā hai aise bhī hote haiñ log duniyā meñ

ki jin se miliye to tanhā.ī ḳhatm hotī hai

suna hai aise bhi hote hain log duniya mein

ki jin se miliye to tanhai KHatm hoti hai

hijrat ghaḌī ham ne tire ḳhat ke alāva

bosīda kitāboñ ko bhī sāmān meñ rakkhā

hijrat ki ghaDi hum ne tere KHat ke alawa

bosida kitabon ko bhi saman mein rakkha

thā koī vahāñ jo hai yahāñ bhī hai vahāñ bhī

jo huuñ maiñ yahāñ huuñ maiñ vahāñ koī nahīñ thā

tha koi wahan jo hai yahan bhi hai wahan bhi

jo hun main yahan hun main wahan koi nahin tha

hijrat ghaḌī ham ne tire ḳhat ke 'alāva

bosīda kitāboñ ko bhī sāmān meñ rakkhā

hijrat ki ghaDi hum ne tere KHat ke 'alawa

bosida kitabon ko bhi saman mein rakkha

bāñsurī baj rahī thī duur kahīñ

raat kis darja yaad aa.e tum

bansuri baj rahi thi dur kahin

raat kis darja yaad aae tum

bujhte hue diye ko bachā to liyā magar

dekhī ga.ī na ham se havā shikast bhī

bujhte hue diye ko bacha to liya magar

dekhi gai na hum se hawa ki shikast bhi

apnī bātoñ jā.eza bhī le

merā lahja hai kyoñ karaḳht na pūchh

apni baaton ka jaeza bhi le

mera lahja hai kyon karaKHt na puchh

aao nikleñ shaam ThanDī saḌak par 'iftiḳhār'

zindagī se kuchh to apnā rābta rah jā.egā

aao niklen sham ki ThanDi saDak par 'iftiKHar'

zindagi se kuchh to apna rabta rah jaega

roz kahtā huuñ ki dīvār ko ūñchā kar leñ

merā ham-sāya mirī baat samajhtā nahīñ

roz kahta hun ki diwar ko uncha kar len

mera ham-saya meri baat samajhta hi nahin

mujhe pukār ke dekho inhī añdheroñ se

maiñ apne 'ahd raushan-ḳhayāl aadmī huuñ

mujhe pukar ke dekho inhi andheron se

main apne 'ahd ka raushan-KHayal aadmi hun

na jaane kaun rut safīr thī vo havā

daraḳht ro diye jis ko salām karte hue

na jaane kaun si rut ki safir thi wo hawa

daraKHt ro diye jis ko salam karte hue

kamāl ai dam-e-vahshat kamāl ho gayā hai

hamārā ḳhud se ta'alluq bahāl ho gayā hai

kamal ai dam-e-wahshat kamal ho gaya hai

hamara KHud se ta'alluq bahaal ho gaya hai

maiñ nikal aatā huuñ bāzār ke sannāTe meñ

ghar meñ to ḳhauf ehsās nahīñ rahtā hai

main nikal aata hun bazar ke sannaTe mein

ghar mein to KHauf ka ehsas nahin rahta hai

kuchh peḌ bahut der se ḳhāmosh khaḌe haiñ

bastī meñ musāfir na makāñ kuchh bhī nahīñ hai

kuchh peD bahut der se KHamosh khaDe hain

basti mein musafir na makan kuchh bhi nahin hai

ik yaad shab-e-rafta ke marqad pe chaḌhī yaad

varna ye charāġhoñ dhuāñ kuchh bhī nahīñ hai

ek yaad shab-e-rafta ke marqad pe chaDhi yaad

warna ye charaghon ka dhuan kuchh bhi nahin hai

isī zindagī meñ palaT ke aanā hai ek din

so maiñ koī saañs idhar udhar nahīñ kar rahā

isi zindagi mein palaT ke aana hai ek din

so main koi sans idhar udhar nahin kar raha

hisār-e-reg meñ barsoñ jalā thā merā vujūd

so ek dasht mirā ham-ḳhayāl ho gayā hai

hisar-e-reg mein barson jala tha mera wujud

so ek dasht mera ham-KHayal ho gaya hai

zarā der ko maddham huī charāġh lau

phir us ke baa'd manzar mujhe nahīñ mā'lūm

zara si der ko maddham hui charagh ki lau

phir us ke ba'd ka manzar mujhe nahin ma'lum

qissa-go ne farāmosh kiyā hai varna

is kahānī meñ tire saath kahīñ the ham bhī

qissa-go tu ne faramosh kiya hai warna

is kahani mein tere sath kahin the hum bhi

mujh ko ye 'ilm thā ki vo manzar nahīñ rahe

maiñ phir bhī sāhiwal baḌī der tak rahā

mujh ko ye 'ilm tha ki wo manzar nahin rahe

main phir bhi sahiwal baDi der tak raha

bārish ek buuñd girnā thā aur phir

mausam meñ e'tidāl baḌī der tak rahā

barish ki ek bund ka girna tha aur phir

mausam mein e'tidal baDi der tak raha

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now