Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shahryar's Photo'

Shahryar

1936 - 2012 | Aligarh, India

One of the most prominent modern Urdu poets and lyricist. Wrote songs for the movie "Umrao Jaan". Recipient of the Bhartiya Gyan Peeth award.

One of the most prominent modern Urdu poets and lyricist. Wrote songs for the movie "Umrao Jaan". Recipient of the Bhartiya Gyan Peeth award.

Sher of Shahryar

64.6K
Favorite

SORT BY

batā.ūñ kis tarah ahbāb ko āñkheñ jo aisī haiñ

ki kal palkoñ se TuuTī niiñd ki kircheñ sameTīñ haiñ

bataun kis tarah ahbab ko aankhen jo aisi hain

ki kal palkon se TuTi nind ki kirchen sameTin hain

dil rijhā hai tujh pe aisā bad-gumāñ hogā nahīñ

nahīñ aayā to samjhā yahāñ hogā nahīñ

dil rijha hai tujh pe aisa bad-guman hoga nahin

tu nahin aaya to samjha tu yahan hoga nahin

maiñ akelā sahī magar kab tak

nañgī parchhā.iyoñ ke biich rahūñ

main akela sahi magar kab tak

nangi parchhaiyon ke bich rahun

maiñ sochūñ kuchh bhī na us ke baare meñ

aisā ho duniyā aur badal jaa.e

ya main sochun kuchh bhi na us ke bare mein

ya aisa ho duniya aur badal jae

kaun baat hai jo us meñ nahīñ

us ko dekhe mirī nazar se koī

kaun si baat hai jo us mein nahin

us ko dekhe meri nazar se koi

har taraf apne ko bikhrā pāoge

ā.inoñ ko toḌ ke pachhtāoge

har taraf apne ko bikhra paoge

aainon ko toD ke pachhtaoge

ham judā ho ga.e āġhāz-e-safar se pahle

jaane kis samt hameñ rāh-e-vafā le jaatī

hum juda ho gae aaghaz-e-safar se pahle

jaane kis samt hamein rah-e-wafa le jati

ḳhajil charāġhoñ se ahl-e-vafā ko honā hai

ki sarfarāz yahāñ phir havā ko honā hai

KHajil charaghon se ahl-e-wafa ko hona hai

ki sarfaraaz yahan phir hawa ko hona hai

safar nashsha chaḌhā hai to kyuuñ utar jaa.e

maza to jab hai koī lauT ke na ghar jaa.e

safar ka nashsha chaDha hai to kyun utar jae

maza to jab hai koi lauT ke na ghar jae

kāġhaz kashtiyāñ bhī bahut kaam ā.eñgī

jis din hamāre shahr meñ sailāb aa.egā

kaghaz ki kashtiyan bhi bahut kaam aaengi

jis din hamare shahr mein sailab aaega

āñkhoñ meñ terī dekh rahā huuñ maiñ apnī shakl

ye koī vāhima ye koī ḳhvāb to nahīñ

aankhon mein teri dekh raha hun main apni shakl

ye koi wahima ye koi KHwab to nahin

kitnī tabdīl hui kis liye tabdīl hui

jānñā chāho to in āñkhoñ se duniyā dekho

kitni tabdil hui kis liye tabdil hui

jaanna chaho to in aankhon se duniya dekho

bahut shor thā jab samā.at ga.ī

bahut bhiiḌ thī jab akele hue

bahut shor tha jab samaat gai

bahut bhiD thi jab akele hue

vaqt ko kyuuñ bhalā burā kahiye

tujh ko honā thā judā ham se

waqt ko kyun bhala bura kahiye

tujh ko hona hi tha juda hum se

nahīñ hai mujh se ta.alluq koī to aisā kyuuñ

ki ne muḌ ke faqat ik mujhī ko dekhā kyuuñ

nahin hai mujh se talluq koi to aisa kyun

ki tu ne muD ke faqat ek mujhi ko dekha kyun

aks-e-yād-e-yār ko dhundlā kiyā hai

maiñ ne ḳhud ko jaan kar tanhā kiyā hai

aks-e-yaad-e-yar ko dhundla kiya hai

main ne KHud ko jaan kar tanha kiya hai

mujh ko le Duubā tirā shahr meñ yaktā honā

dil bahal jaatā agar koī bhī tujh hotā

mujh ko le Duba tera shahr mein yakta hona

dil bahal jata agar koi bhi tujh sa hota

nazrāna tere husn ko kyā deñ ki apne paas

le de ke ek dil hai so TuuTā huā hai

nazrana tere husn ko kya den ki apne pas

le de ke ek dil hai so TuTa hua sa hai

chal chal ke thak gayā hai ki manzil nahīñ koī

kyuuñ vaqt ek moḌ pe Thahrā huā hai

chal chal ke thak gaya hai ki manzil nahin koi

kyun waqt ek moD pe Thahra hua sa hai

ik sirf hamīñ mai ko ā.ankhoñ se pilāte haiñ

kahne ko to duniyā meñ mai-ḳhāne hazāroñ haiñ

ek sirf hamin mai ko aaankhon se pilate hain

kahne ko to duniya mein mai-KHane hazaron hain

siyāh raat nahīñ letī naam Dhalne

yahī to vaqt hai sūraj tire nikalne

siyah raat nahin leti nam Dhalne ka

yahi to waqt hai suraj tere nikalne ka

zabāñ milī bhī to kis vaqt be-zabānoñ ko

sunāne ke liye jab koī dāstāñ na rahī

zaban mili bhi to kis waqt be-zabanon ko

sunane ke liye jab koi dastan na rahi

shahr-e-ummīd haqīqat meñ nahīñ ban saktā

to chalo us ko tasavvur meñ ta.amīr kareñ

shahr-e-ummid haqiqat mein nahin ban sakta

to chalo us ko tasawwur hi mein tamir karen

umr baaqī safar karnā hai is shart ke saath

dhuup dekheñ to use saa.e se ta.abīr kareñ

umr ka baqi safar karna hai is shart ke sath

dhup dekhen to use sae se tabir karen

ab to le de ke yahī kaam hai in ā.ankhoñ

jin ko dekhā nahīñ un ḳhvāboñ ta.abīr kareñ

ab to le de ke yahi kaam hai in aaankhon ka

jin ko dekha nahin un KHwabon ki tabir karen

kahāñ tak vaqt ke dariyā ko ham Thahrā huā dekheñ

ye hasrat hai ki in ā.ankhoñ se kuchh hotā huā dekheñ

kahan tak waqt ke dariya ko hum Thahra hua dekhen

ye hasrat hai ki in aaankhon se kuchh hota hua dekhen

kahiye to āsmāñ ko zamīñ par utaar laa.eñ

mushkil nahīñ hai kuchh bhī agar Thaan lījiye

kahiye to aasman ko zamin par utar laen

mushkil nahin hai kuchh bhi agar Than lijiye

umr lambā hissa kar ke dānā.ī ke naam

ham bhī ab ye soch rahe haiñ pāgal ho jaa.eñ

umr ka lamba hissa kar ke danai ke nam

hum bhi ab ye soch rahe hain pagal ho jaen

pal bhar meñ kaise log badal jaate haiñ yahāñ

dekho ki ye mufīd hai bīnā.ī ke liye

pal bhar mein kaise log badal jate hain yahan

dekho ki ye mufid hai binai ke liye

hai aaj ye gila ki akelā hai 'shahryār'

tarsoge kal hujūm meñ tanhā.ī ke liye

hai aaj ye gila ki akela hai 'shahryar'

tarsoge kal hujum mein tanhai ke liye

be-nām se ik ḳhauf se dil kyuuñ hai pareshāñ

jab tai hai ki kuchh vaqt se pahle nahīñ hogā

be-nam se ek KHauf se dil kyun hai pareshan

jab tai hai ki kuchh waqt se pahle nahin hoga

ab raat dīvār ko Dhānā hai zarūrī

ye kaam magar mujh se akele nahīñ hogā

ab raat ki diwar ko Dhana hai zaruri

ye kaam magar mujh se akele nahin hoga

jo chāhtī duniyā hai vo mujh se nahīñ hogā

samjhautā koī ḳhvāb ke badle nahīñ hogā

jo chahti duniya hai wo mujh se nahin hoga

samjhauta koi KHwab ke badle nahin hoga

ye kyā hai mohabbat meñ to aisā nahīñ hotā

maiñ tujh se judā ho ke bhī tanhā nahīñ hotā

ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota

main tujh se juda ho ke bhi tanha nahin hota

sabhī ko ġham hai samundar ke ḳhushk hone

ki khel ḳhatm huā kashtiyāñ Dubone

sabhi ko gham hai samundar ke KHushk hone ka

ki khel KHatm hua kashtiyan Dubone ka

dil meñ rakhtā hai na palkoñ pe biThātā hai mujhe

phir bhī ik shaḳhs meñ kyā kyā nazar aatā hai mujhe

dil mein rakhta hai na palkon pe biThata hai mujhe

phir bhi ek shaKHs mein kya kya nazar aata hai mujhe

justujū jis thī us ko to na paayā ham ne

is bahāne se magar dekh duniyā ham ne

justuju jis ki thi us ko to na paya hum ne

is bahane se magar dekh li duniya hum ne

tere alāva bhī kisī shai talab hai

apnī mohabbat pe bharosā nahīñ ham ko

ya tere alawa bhi kisi shai ki talab hai

ya apni mohabbat pe bharosa nahin hum ko

us ko kisī ke vāste be-tāb dekhte

ham bhī kabhī ye manzar-e-nāyāb dekhte

us ko kisi ke waste be-tab dekhte

hum bhi kabhi ye manzar-e-nayab dekhte

tujh se bichhḌe haiñ to ab kis se milātī hai hameñ

zindagī dekhiye kyā rañg dikhātī hai hameñ

tujh se bichhDe hain to ab kis se milati hai hamein

zindagi dekhiye kya rang dikhati hai hamein

gardish-e-vaqt kitnā baḌā ehsāñ hai ki aaj

ye zamīñ chāñd se behtar nazar aatī hai hameñ

gardish-e-waqt ka kitna baDa ehsan hai ki aaj

ye zamin chand se behtar nazar aati hai hamein

mire sūraj aa! mire jism pe apnā saaya kar

baḌī tez havā hai sardī aaj ġhazab hai

mere suraj aa! mere jism pe apna saya kar

baDi tez hawa hai sardi aaj ghazab ki hai

tujhe bhuul gayā kabhī yaad nahīñ kartā tujh ko

jo baat bahut pahle karnī thī ab hai

tujhe bhul gaya kabhi yaad nahin karta tujh ko

jo baat bahut pahle karni thi ab ki hai

shikva koī dariyā ravānī se nahīñ hai

rishta mirī pyaas paanī se nahīñ hai

shikwa koi dariya ki rawani se nahin hai

rishta hi meri pyas ka pani se nahin hai

siine meñ jalan āñkhoñ meñ tūfān kyuuñ hai

is shahr meñ har shaḳhs pareshān kyuuñ hai

sine mein jalan aankhon mein tufan sa kyun hai

is shahr mein har shaKHs pareshan sa kyun hai

tanhā.ī ye kaun manzil hai rafīqo

tā-hadd-e-nazar ek bayābān kyuuñ hai

tanhai ki ye kaun si manzil hai rafiqo

ta-hadd-e-nazar ek bayaban sa kyun hai

kyā koī na.ī baat nazar aatī hai ham meñ

ā.īna hameñ dekh ke hairān kyuuñ hai

kya koi nai baat nazar aati hai hum mein

aaina hamein dekh ke hairan sa kyun hai

ham ne to koī baat nikālī nahīñ ġham

vo zūd-pashīmān pashīmān kyuuñ hai

hum ne to koi baat nikali nahin gham ki

wo zud-pashiman pashiman sa kyun hai

ajiib chiiz hai ye vaqt jis ko kahte haiñ

ki aane paatā nahīñ aur biit jaatā hai

ajib chiz hai ye waqt jis ko kahte hain

ki aane pata nahin aur bit jata hai

na ḳhush-gumān ho is par ai dil-e-sāda

sabhī ko dekh ke vo shaḳhs muskurātā hai

na KHush-guman ho is par tu ai dil-e-sada

sabhi ko dekh ke wo shaKHs muskuraata hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now