chand mere ghar mein utra tha kahin Duba na tha

Arif Abdul Mateen

chand mere ghar mein utra tha kahin Duba na tha

Arif Abdul Mateen

MORE BY Arif Abdul Mateen

  chāñd mere ghar meñ utrā thā kahīñ Duubā na thā

  ai mire sūraj abhī aanā tirā achchhā na thā

  maiñ ne sun thī tire qadmoñ aahaT duur se

  na aa.egā kabhī dil meñ mire dhaḌkā na thā

  maiñ ne dekhā thā sar-e-ā.īna ik paikar aks

  hū-ba-hū ham-shakal thā merā magar mujh na thā

  kyuuñ jhulas Daalā hai us ne mere ḳhadd-o-ḳhāl ko

  vaqt ik dariyā thā lekin aag dariyā na thā

  band paanī ke bhañvar meñ kho ga.ī kashtī mirī

  aañkh jal-thal thī magar aañsū koī Tapkā na thā

  maiñ na dāmān-e-charāġh-e-be-navā ban kar jalā

  thī talab jhoñke mujh ko aur jhoñkā na thā

  ghuum kar dekhā to thā jis raah par tanhā ravāñ

  bhiiḌ itnī thī ki chalne ko vahāñ rastā na thā

  maiñ ki vus.at tamannā meñ bagūlā ban gayā

  ret ke zarre the dāman meñ mire sahrā na thā

  kāhish-e-soz-o-ziyāñ ne raakh kar Daalā mujhe

  maiñ ne samjhā thā ki ye sho.ala yahāñ jaltā na thā

  mere sahrā tapish ko dekh kar hairāñ na thā

  abr ghir kar bārhā aayā magar barsā na thā

  apne bachchoñ tabassum dekh kar 'ārif' batā

  ghar vīrānī tujh ko shikva-e-bejā na thā

  chand mere ghar mein utra tha kahin Duba na tha

  ai mere suraj abhi aana tera achchha na tha

  main ne sun li thi tere qadmon ki aahaT dur se

  tu na aaega kabhi dil mein mere dhaDka na tha

  main ne dekha tha sar-e-aina ek paikar ka aks

  hu-ba-hu ham-shakal tha mera magar mujh sa na tha

  kyun jhulas Dala hai us ne mere KHadd-o-KHal ko

  waqt ek dariya tha lekin aag ka dariya na tha

  band pani ke bhanwar mein kho gai kashti meri

  aankh jal-thal thi magar aansu koi Tapka na tha

  main na daman-e-charagh-e-be-nawa ban kar jala

  thi talab jhonke ki mujh ko aur tu jhonka na tha

  ghum kar dekha to tha jis rah par tanha rawan

  bhiD itni thi ki chalne ko wahan rasta na tha

  main ki wusat ki tamanna mein bagula ban gaya

  ret ke zarre the daman mein mere sahra na tha

  kahish-e-soz-o-ziyan ne rakh kar Dala mujhe

  main ne samjha tha ki ye shoala yahan jalta na tha

  mere sahra ki tapish ko dekh kar hairan na tha

  abr ghir kar barha aaya magar barsa na tha

  apne bachchon ka tabassum dekh kar 'arif' bata

  ghar ki virani ka tujh ko shikwa-e-beja na tha

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY