aankh rakhte hue tauhin-e-nazar kaun kare
aañkh rakhte hue tauhīn-e-nazar kaun kare
naav TuuTī huī dekhe to safar kaun kare
sab yahāñ paar utarne ke liye baiThe haiñ
sāmnā tund-havāoñ kā magar kaun kare
laash be-gor-o-kafan kab se paḌī hai bāhar
sabhī qātil hoñ to bastī meñ ḳhabar kaun kare
log jangal ke daraḳhtoñ ko uThā le ga.e ghar
dhuup meñ jalte parindoñ pe nazar kaun kare
duur tak raah meñ chhāyā hai ḳhizāñ kā manzar
ḳhvāb āñkhoñ meñ na mahke to safar kaun kare
jhilmilā de tujhe ik mauj-e-havā kī aahaT
sham.a-e-be-māya tire saath sahar kaun kare
imtihān-e-dil-o-jāñ hai ye mohabbat kī salīb
sahl ho ma.arka-e-shauq to sar kaun kare
aaj lafzoñ kā bharam TuuT gayā hai 'qaisar'
ham bhī naqqād haiñ tanqīd magar kaun kare
aankh rakhte hue tauhin-e-nazar kaun kare
naw TuTi hui dekhe to safar kaun kare
sab yahan par utarne ke liye baiThe hain
samna tund-hawaon ka magar kaun kare
lash be-gor-o-kafan kab se paDi hai bahar
sabhi qatil hon to basti mein KHabar kaun kare
log jangal ke daraKHton ko uTha le gae ghar
dhup mein jalte parindon pe nazar kaun kare
dur tak rah mein chhaya hai KHizan ka manzar
KHwab aankhon mein na mahke to safar kaun kare
jhilmila de tujhe ek mauj-e-hawa ki aahaT
shama-e-be-maya tere sath sahar kaun kare
imtihan-e-dil-o-jaan hai ye mohabbat ki salib
sahl ho marka-e-shauq to sar kaun kare
aaj lafzon ka bharam TuT gaya hai 'qaisar'
hum bhi naqqad hain tanqid magar kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.