ajab nahin ki phir ek bar main badal jaun
'ajab nahīñ ki phir ik baar maiñ badal jā.ūñ
zamīñ se duur kahīñ aur hī nikal jā.ūñ
purāne vaqt kā sikka huuñ mujh ko pheñk na de
bure dinoñ meñ ye mumkin hai maiñ bhī chal jā.ūñ
tire badan meñ kahīñ raushnī kā naam nahīñ
utar hī jā.ūñ badan meñ tire maiñ jal jā.ūñ
mujhe nahīñ to kisī aur ko to kāTegā
ye saañp hai to ise maar kar nikal jā.ūñ
ḳhudā gavāh bahut thak gayā huuñ ro ro kar
koī to pyaar se dekhe ki maiñ bahal jā.ūñ
na kaam aa.egā ye gosht kā badan 'alvī'
mashīnī daur hai lohe meñ kyoñ na Dhal jā.ūñ
'ajab nahin ki phir ek bar main badal jaun
zamin se dur kahin aur hi nikal jaun
purane waqt ka sikka hun mujh ko phenk na de
bure dinon mein ye mumkin hai main bhi chal jaun
tere badan mein kahin raushni ka nam nahin
utar hi jaun badan mein tere main jal jaun
mujhe nahin to kisi aur ko to kaTega
ye sanp hai to ise mar kar nikal jaun
KHuda gawah bahut thak gaya hun ro ro kar
koi to pyar se dekhe ki main bahal jaun
na kaam aaega ye gosht ka badan 'alwi'
mashini daur hai lohe mein kyon na Dhal jaun
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 66)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.