Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dastan-e-fitrat hai zarf ki kahani hai

Hayat Warsi

dastan-e-fitrat hai zarf ki kahani hai

Hayat Warsi

MORE BYHayat Warsi

    dāstān-e-fitrat hai zarf kahānī hai

    jitnā uthlā dariyā hai utnā tez paanī hai

    jin laboñ ne sīñchā hai tishnagī ke ḳhāroñ ko

    ab unhīñ ke hisse meñ jām-e-kāmrānī hai

    phir se khulne vaalā hai koī taaza gul shāyad

    bāġhbāñ phir ham par ḳhāsī mehrbānī hai

    aql kab se bhaTke hai nafratoñ vaadī meñ

    pyaar magar ab bhī dil pe hukmarānī hai

    zaḳhm khāte rahte haiñ muskurāte rahte haiñ

    ham vafā-shanāsoñ ye adā purānī hai

    barf ban ga.e armāñ munjamid hue jazbe

    ziist ke samundar meñ kitnā sard paanī hai

    apne saa.e se ham ḳhud ai hayāt Darte haiñ

    maslahat duniyā meñ kitnī bad-gumānī hai

    dastan-e-fitrat hai zarf ki kahani hai

    jitna uthla dariya hai utna tez pani hai

    jin labon ne sincha hai tishnagi ke KHaron ko

    ab unhin ke hisse mein jam-e-kaamrani hai

    phir se khulne wala hai koi taza gul shayad

    baghban ki phir hum par KHasi mehrbani hai

    aql kab se bhaTke hai nafraton ki wadi mein

    pyar ki magar ab bhi dil pe hukmarani hai

    zaKHm khate rahte hain muskuraate rahte hain

    hum wafa-shanason ki ye ada purani hai

    barf ban gae arman munjamid hue jazbe

    zist ke samundar mein kitna sard pani hai

    apne sae se hum KHud ai hayat Darte hain

    maslahat ki duniya mein kitni bad-gumani hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 206)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now