aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard baDhta hi rahe aisi dawa de jao

Anwar Masood

dard baDhta hi rahe aisi dawa de jao

Anwar Masood

MORE BYAnwar Masood

    dard baḌhtā rahe aisī davā de jaao

    kuchh na kuchh merī vafāoñ salā de jaao

    yuuñ na jaao ki maiñ ro bhī na sakūñ furqat meñ

    merī rātoñ ko sitāroñ ziyā de jaao

    ek baar aao kabhī itne achānak-pan se

    nā-umīdī ko tahayyur sazā de jaao

    dushmanī koī pairāya-e-nādir DhūñDo

    jab bhī aao mujhe jiine duā de jaao

    vahī iḳhlās-o-muravvat purānī tohmat

    dosto koī to ilzām nayā de jaao

    koī sahrā bhī agar raah meñ aa.e 'anvar'

    dil ye kahtā hai ki ik baar sadā de jaao

    dard baDhta hi rahe aisi dawa de jao

    kuchh na kuchh meri wafaon ka sala de jao

    yun na jao ki main ro bhi na sakun furqat mein

    meri raaton ko sitaron ki ziya de jao

    ek bar aao kabhi itne achanak-pan se

    na-umidi ko tahayyur ki saza de jao

    dushmani ka koi pairaya-e-nadir DhunDo

    jab bhi aao mujhe jine ki dua de jao

    wahi iKHlas-o-murawwat ki purani tohmat

    dosto koi to ilzam naya de jao

    koi sahra bhi agar rah mein aae 'anwar'

    dil ye kahta hai ki ek bar sada de jao

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 855)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now