aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhun hun yun main us sitam-ijad ki taraf

Sauda Mohammad Rafi

dekhun hun yun main us sitam-ijad ki taraf

Sauda Mohammad Rafi

MORE BYSauda Mohammad Rafi

    dekhūñ huuñ yuuñ maiñ us sitam-ījād taraf

    juuñ said vaqt zabah ke sayyād taraf

    ne daana ham qayās kiyā ne lihāz-e-dām

    dhañs ga.e qafas meñ dekh ke sayyād taraf

    sābit na hove ḳhuun mirā roz-e-bāz-purs

    boleñge ahl-e-hashr so jallād taraf

    patthar lekh thā suḳhan us hazār haif

    bolī zabān-e-tesha na farhād taraf

    turra ke tere vāste sad-chob-e-shān-a-dār

    qumrī ga.ī hai kāTne shamshād taraf

    'saudā' is ġhazal ko ġhazal-dar-ġhazal kah

    honā hai tujh ko 'mīr' se ustād taraf

    dekhun hun yun main us sitam-ijad ki taraf

    jun said waqt zabah ke sayyaad ki taraf

    ne dana hum qayas kiya ne lihaz-e-dam

    dhans gae qafas mein dekh ke sayyaad ki taraf

    sabit na howe KHun mera roz-e-baz-purs

    bolenge ahl-e-hashr so jallad ki taraf

    patthar ki lekh tha suKHan us ka hazar haif

    boli zaban-e-tesha na farhad ki taraf

    turra ke tere waste sad-chob-e-shan-a-dar

    qumri gai hai kaTne shamshad ki taraf

    'sauda' tu is ghazal ko ghazal-dar-ghazal hi kah

    hona hai tujh ko 'mir' se ustad ki taraf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now