Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

did ki ek aan mein kar-e-dawam ho gaya

Jaun Eliya

did ki ek aan mein kar-e-dawam ho gaya

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    diid ek aan meñ kār-e-davām ho gayā

    vo bhī tamām ho gayā maiñ bhī tamām ho gayā

    ab maiñ huuñ ik azaab meñ aur ajab azaab meñ

    jannat-e-pur-sukūt meñ mujh se kalām ho gayā

    aah vo aish-e-rāz-e-jāñ haa.e vo aish-e-rāz-e-jāñ

    haa.e vo aish-e-rāz-e-jāñ shahr meñ aam ho gayā

    rishta-e-rañg-e-jāñ mirā nik.hat-e-nāz se tirī

    puḳhta huā aur is qadar ya.anī ki ḳhaam ho gayā

    pūchh na vasl hisāb haal hai ab bahut ḳharāb

    rishta-e-jism-o-jāñ ke biich jism harām ho gayā

    shahr dāstāñ na pūchh hai ye ajiib dāstāñ

    aane se shahryār ke shahr ġhulām ho gayā

    dil kahāniyāñ banīñ kūcha-ba-kūcha kū-ba-kū

    sah ke malāl-e-shahr ko shahr meñ naam ho gayā

    'jaun' tishnagī thā ḳhuub mājrā ki jo

    mīnā-ba-mīnā mai-ba-mai jām-ba-jām ho gayā

    nāf-piyāle ko tire dekh liyā muġhāñ ne jaan

    saare mai-kade aaj kaam tamām ho gayā

    us nigāh uTh ga.ī aur meñ uTh ke rah gayā

    merī nigāh jhuk ga.ī aur salām ho gayā

    did ki ek aan mein kar-e-dawam ho gaya

    wo bhi tamam ho gaya main bhi tamam ho gaya

    ab main hun ek azab mein aur ajab azab mein

    jannat-e-pur-sukut mein mujh se kalam ho gaya

    aah wo aish-e-raaz-e-jaan hae wo aish-e-raaz-e-jaan

    hae wo aish-e-raaz-e-jaan shahr mein aam ho gaya

    rishta-e-rang-e-jaan mera nikhat-e-naz se teri

    puKHta hua aur is qadar yani ki KHam ho gaya

    puchh na wasl ka hisab haal hai ab bahut KHarab

    rishta-e-jism-o-jaan ke bich jism haram ho gaya

    shahr ki dastan na puchh hai ye ajib dastan

    aane se shahryar ke shahr ghulam ho gaya

    dil ki kahaniyan banin kucha-ba-kucha ku-ba-ku

    sah ke malal-e-shahr ko shahr mein nam ho gaya

    'jaun' ki tishnagi ka tha KHub hi majra ki jo

    mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam ho gaya

    naf-piyale ko tere dekh liya mughan ne jaan

    sare hi mai-kade ka aaj kaam tamam ho gaya

    us ki nigah uTh gai aur mein uTh ke rah gaya

    meri nigah jhuk gai aur salam ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now