Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din ki bedard thakan chehre pe le kar mat ja

Qaisarul Jafri

din ki bedard thakan chehre pe le kar mat ja

Qaisarul Jafri

MORE BYQaisarul Jafri

    din bedard thakan chehre pe le kar mat

    bām-o-dar jaag rahe hoñge abhī ghar mat

    mere purkhoñ virāsat bharam rahne de

    havelī ko khulā dekh ke andar mat

    buuñd bhar dard sañbhaltā nahīñ kam-zarfoñ se

    rakh ke apnī hathelī pe samundar mat

    phūTne de mirī palkoñ se zarā aur lahū

    ai mirī niiñd abhī chhoḌ ke bistar mat

    kuchh to rahne de abhī tark-e-vafā ḳhātir

    tujh ko jaanā hai to haath jhaTak kar mat

    aur kuchh der ye mashq-e-nigah-e-nāz sahī

    sāmne baiTh abhī pheñk ke ḳhanjar mat

    dhuup kyā hai tujhe andāza nahīñ hai 'qaisar'

    aable paañv meñ paḌ jā.eñge bāhar mat

    din ki bedard thakan chehre pe le kar mat ja

    baam-o-dar jag rahe honge abhi ghar mat ja

    mere purkhon ki wirasat ka bharam rahne de

    tu haweli ko khula dekh ke andar mat ja

    bund bhar dard sanbhalta nahin kam-zarfon se

    rakh ke tu apni hatheli pe samundar mat ja

    phuTne de meri palkon se zara aur lahu

    ai meri nind abhi chhoD ke bistar mat ja

    kuchh to rahne de abhi tark-e-wafa ki KHatir

    tujh ko jaana hai to ja hath jhaTak kar mat ja

    aur kuchh der ye mashq-e-nigah-e-naz sahi

    samne baiTh abhi phenk ke KHanjar mat ja

    dhup kya hai tujhe andaza nahin hai 'qaisar'

    aable panw mein paD jaenge bahar mat ja

    Source:

    Agar Darya Mila Hota (Pg. 79)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now