ek suKHan ko bhul kar ek kalam tha zarur

Nadeem Bhabha

ek suKHan ko bhul kar ek kalam tha zarur

Nadeem Bhabha

MORE BYNadeem Bhabha

  ek suḳhan ko bhuul kar ek kalām thā zarūr

  merā to zikr na thā par tirā naam thā zarūr

  kaañp rahe the mere haath chīḳh rahe the bām-o-dar

  zahr agar nahīñ thā vo āḳhirī jaam thā zarūr

  yūñhī nahīñ tamām umr sajde meñ guzar ga.ī

  ishq is namāz koī imaam thā zarūr

  yaad abhī nahīñ hameñ zehn pe zor de chuke

  tum se milne aa.e the tum se kaam thā zarūr

  tum ne jab us baat tum pe bhī pyaar aa gayā

  chūmā nahīñ tumheñ miyāñ garche maqām thā zarūr

  aap mujhe bhulā chuke yaad to kījiye janāb

  merī bhī ik shanāḳht thī merā bhī naam thā zarūr

  ek suKHan ko bhul kar ek kalam tha zarur

  mera to zikr hi na tha par tera nam tha zarur

  kanp rahe the mere hath chiKH rahe the baam-o-dar

  zahr agar nahin tha wo aaKHiri jam tha zarur

  yunhi nahin tamam umr sajde mein hi guzar gai

  ishq ki is namaz ka koi imam tha zarur

  yaad abhi nahin hamein zehn pe zor de chuke

  tum hi se milne aae the tum se hi kaam tha zarur

  tum ne jab us ki baat ki tum pe bhi pyar aa gaya

  chuma nahin tumhein miyan garche maqam tha zarur

  aap mujhe bhula chuke yaad to kijiye janab

  meri bhi ek shanaKHt thi mera bhi nam tha zarur

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY