ghar se daftar aur phir daftar se ghar karti hui
ghar se daftar aur phir daftar se ghar kartī huī
chal rahī hai rail paTrī par safar kartī huī
ye jo mere āsmāñ par chhā.ī kaalī raat hai
ye mujhe lagtī nahīñ hargiz sahar kartī huī
har qadam par maiñ laraztā kāñptā dam toḌtā
'umr saare kaam be-ḳhauf-o-ḳhatar kartī huī
jī rahā huuñ be-ḳhabar behosh gird-o-pesh se
jis tarah ik bheḌ revaḌ meñ safar kartī huī
shā'irī hai TuuTe shīshe kaale kāġhaz kā adab
be-hisī kī soch qissa muḳhtasar kartī huī
tez bārish meñ umañDte bādaloñ kī ghan-garaj
vādiyoñ meñ tairtī jhīloñ ko tar kartī huī
mere aage kyoñ kisī kā jal nahīñ saktā charāġh
kyoñ havā chaltī nahīñ mujh par asar kartī huī
zindagī piirī faqīrī shā'irī sūrat-garī
zindagī ik vaishyā bhī raat bhar kartī huī
maiñ kahāñ paatā surāġh-e-'aish-o-āsā.ish 'nishāt'
mere aage merī bastī thī basar kartī huī
ghar se daftar aur phir daftar se ghar karti hui
chal rahi hai rail paTri par safar karti hui
ye jo mere aasman par chhai kali raat hai
ye mujhe lagti nahin hargiz sahar karti hui
har qadam par main larazta kanpta dam toDta
'umr sare kaam be-KHauf-o-KHatar karti hui
ji raha hun be-KHabar behosh gird-o-pesh se
jis tarah ek bheD rewaD mein safar karti hui
sha'iri hai TuTe shishe kale kaghaz ka adab
be-hisi ki soch qissa muKHtasar karti hui
tez barish mein umanDte baadalon ki ghan-garaj
wadiyon mein tairti jhilon ko tar karti hui
mere aage kyon kisi ka jal nahin sakta charagh
kyon hawa chalti nahin mujh par asar karti hui
zindagi piri faqiri sha'iri surat-gari
zindagi ek waishya bhi raat bhar karti hui
main kahan pata suragh-e-'aish-o-asaish 'nishat'
mere aage meri basti thi basar karti hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.