Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasti ko teri bas hai miyan gul ki ishaarat

Sauda Mohammad Rafi

hasti ko teri bas hai miyan gul ki ishaarat

Sauda Mohammad Rafi

MORE BYSauda Mohammad Rafi

    hastī ko tirī bas hai miyāñ gul ishārat

    kaafī hai mire naale ko bulbul ishārat

    fatvā talab ai yaar na qaazī se karūñ maiñ

    tauba-shikanī ko hai mirī mul ishārat

    mil baiTh merī āñkhoñ meñ hai sā.at-e-nek aaj

    ye chashm tarāzū haiñ tire tul ishārat

    hai bā.is-e-jam.iyyat-e-dil ek jahāñ

    ai shoḳh pareshāni-e-kākul ishārat

    taqvā ke nahīñ baar se qad ḳham tirā ai shaiḳh

    ik ḳhalq meñ mash.hūr hai is pul ishārat

    yaad aa.e tirī zulf na mujh ko jo chaman meñ

    de taab mire dil ko na sumbul ishārat

    ushshāq ko tujh chashm ke hājat nahīñ mai

    behosh kare 'saudā' ko qulqul ishārat

    hasti ko teri bas hai miyan gul ki ishaarat

    kafi hai mere nale ko bulbul ki ishaarat

    fatwa talab ai yar na qazi se karun main

    tauba-shikani ko hai meri mul ki ishaarat

    mil baiTh meri aankhon mein hai saat-e-nek aaj

    ye chashm taraazu hain tere tul ki ishaarat

    hai bais-e-jamiyyat-e-dil ek jahan ki

    ai shoKH pareshani-e-kakul ki ishaarat

    taqwa ke nahin bar se qad KHam tera ai shaiKH

    ek KHalq mein mashhur hai is pul ki ishaarat

    yaad aae teri zulf na mujh ko jo chaman mein

    de tab mere dil ko na sumbul ki ishaarat

    ushshaq ko tujh chashm ke hajat nahin mai ki

    behosh kare 'sauda' ko qulqul ki ishaarat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now