ek sitare ne aankh mari hai
ik sitāre ne aañkh maarī hai
dūsre ne nazar utārī hai
bhīkh letā hai vo bhī sūraj se
chāñd pahuñchā huā bhikārī hai
raat taare shikār kartī hai
dekhiye aaj kis kī baarī hai
āsmāñ ḳhuun meñ nahāyā hai
shaam ke haath meñ kaTārī hai
jānñe vaale jaan jā.eñge
raat tum ne kahāñ guzārī hai
ye na 'mushtāq' kī na 'ġhālib' kī
sāhibo ye ġhazal hamārī hai
yaar 'alvī' kahāñ chale lekar
kis havelī kī ye savārī hai
ek sitare ne aankh mari hai
dusre ne nazar utari hai
bhikh leta hai wo bhi suraj se
chand pahuncha hua bhikari hai
raat tare shikar karti hai
dekhiye aaj kis ki bari hai
aasman KHun mein nahaya hai
sham ke hath mein kaTari hai
jaanne wale jaan jaenge
raat tum ne kahan guzari hai
ye na 'mushtaq' ki na 'ghaalib' ki
sahibo ye ghazal hamari hai
yar 'alwi' kahan chale lekar
kis haweli ki ye sawari hai
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 124)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.