ek zaKHm bhi yaran-e-bismil nahin aane ka

Jaun Eliya

ek zaKHm bhi yaran-e-bismil nahin aane ka

Jaun Eliya

MORE BY Jaun Eliya

  ik zaḳhm bhī yārān-e-bismil nahīñ aane

  maqtal meñ paḌe rahiye qātil nahīñ aane

  ab kuuch karo yaaro sahrā se ki sunte haiñ

  sahrā meñ ab ā.inda mahmil nahīñ aane

  vaa.iz ko ḳharābe meñ ik dāvat-e-haq thī

  maiñ jaan rahā thā vo jāhil nahīñ aane

  buniyād-e-jahāñ pahle jo thī vahī ab bhī hai

  yuuñ hashr to yārān-e-yak-dil nahīñ aane

  but hai ki ḳhudā hai vo maanā hai na mānūñgā

  us shoḳh se jab tak maiñ ḳhud mil nahīñ aane

  gar dil ye mahfil hai ḳharcha bhī ho phir dil

  bāhar se to sāmān-e-mahfil nahīñ aane

  vo naaf pyāle se sarmast kare varna

  ho ke maiñ kabhī us qaa.il nahīñ aane

  ek zaKHm bhi yaran-e-bismil nahin aane ka

  maqtal mein paDe rahiye qatil nahin aane ka

  ab kuch karo yaro sahra se ki sunte hain

  sahra mein ab aainda mahmil nahin aane ka

  waiz ko KHarabe mein ek dawat-e-haq di thi

  main jaan raha tha wo jahil nahin aane ka

  buniyaad-e-jahan pahle jo thi wahi ab bhi hai

  yun hashr to yaran-e-yak-dil nahin aane ka

  but hai ki KHuda hai wo mana hai na manunga

  us shoKH se jab tak main KHud mil nahin aane ka

  gar dil ki ye mahfil hai KHarcha bhi ho phir dil ka

  bahar se to saman-e-mahfil nahin aane ka

  wo naf pyale se sarmast kare warna

  ho ke main kabhi us ka qail nahin aane ka

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque

  ek zaKHm bhi yaran-e-bismil nahin aane ka Nomaan Shauque

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY