Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isko qudrat ki did karta hun

Shaikh Zahuruddin Hatim

isko qudrat ki did karta hun

Shaikh Zahuruddin Hatim

MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim

    is qudrat diid kartā huuñ

    roz nau-roz iid kartā huuñ

    merā ahvāl-e-faqr mat pūchho

    zohd misl-e-farīd kartā huuñ

    roz bāzār-e-mulk-e-hastī meñ

    jins-e-isyāñ ḳharīd kartā huuñ

    fat.h karne ko qalb-e-dil hisār

    teġh-e-himmat kalīd kartā huuñ

    bas-ki maiñ tishna-e-shahādat huuñ

    dil ko har-dam shahīd kartā huuñ

    na maiñ sunnī na shii.a ne kāfir

    suufī huuñ sab viid kartā huuñ

    shaiḳh go ki pīr-zāda hai

    rah tujhe maiñ murīd kartā huuñ

    apne ehsān-e-ḳhalq se 'hātim'

    aadmī ko abiid kartā huuñ

    is ki qudrat ki did karta hun

    roz nau-roz id karta hun

    mera ahwal-e-faqr mat puchho

    zohd misl-e-farid karta hun

    roz bazar-e-mulk-e-hasti mein

    jins-e-isyan KHarid karta hun

    fath karne ko qalb-e-dil ka hisar

    tegh-e-himmat kalid karta hun

    bas-ki main tishna-e-shahadat hun

    dil ko har-dam shahid karta hun

    na main sunni na shia ne kafir

    sufi hun sab ka wid karta hun

    shaiKH tu go ki pir-zada hai

    rah tujhe main murid karta hun

    apne ehsan-e-KHalq se 'hatim'

    aadmi ko abid karta hun

    Source:

    Diwan Zadah (Pg. 242)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now