is tarah karti hai ghar ko KHatm chashmak dekh le
is tarah kartī hai ghar ko ḳhatm chashmak dekh le
jaise ik zaatī kutub-ḳhāne ko dīmak dekh le
bāñTnā dukh-sukh bhī ham-sāyoñ ke lekin ai 'azīz
aañkh par hirs-o-havas kī pahle 'ainak dekh le
ek hī sā'at meñ raushan ho ga.e dīvār-o-dar
de rahā hai kaun darvāze pe dastak dekh le
kis tarah ahbāb meñ rahtā nahīñ fikr-e-ziyāñ
vaqt ko kartī hai kaise qatl baiThak dekh le
laḌ rahe haiñ āj-kal dānishvarān-e-qaum bhī
chashm-e-bīnā ho na ho raushan hai maslak dekh le
saare ahbāb apne apne rāstoñ par ho liye
ai 'azīm' apnī taraf ab tū bhī be-shak dekh le
is tarah karti hai ghar ko KHatm chashmak dekh le
jaise ek zati kutub-KHane ko dimak dekh le
banTna dukh-sukh bhi ham-sayon ke lekin ai 'aziz
aankh par hirs-o-hawas ki pahle 'ainak dekh le
ek hi sa'at mein raushan ho gae diwar-o-dar
de raha hai kaun darwaze pe dastak dekh le
kis tarah ahbab mein rahta nahin fikr-e-ziyan
waqt ko karti hai kaise qatl baiThak dekh le
laD rahe hain aaj-kal danishwaran-e-qaum bhi
chashm-e-bina ho na ho raushan hai maslak dekh le
sare ahbab apne apne raston par ho liye
ai 'azim' apni taraf ab tu bhi be-shak dekh le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.