ishq ki ek rangin sada par barse rang
ishq kī ik rañgīn sadā par barse rañg
rañg ho majnūñ aur lailā par barse rañg
kab tak chunarī par hī zulm hoñ rañgoñ ke
rañgreza terī bhī qabā par barse rañg
ḳhvāb bhareñ tirī āñkheñ merī āñkhoñ meñ
ek ghaTā se ek ghaTā par barse rañg
ik satrañgī ḳhushbū oḌh ke nikle tū
is be-rañg udaas havā par barse rañg
ai devī ruḳhsār pe tere rañg lage
jogī kī almast jaTā par barse rañg
mere anāsir ḳhaak na hoñ bas rañg baneñ
aur jañgal sahrā dariyā par barse rañg
sūraj apne par jhaTke aur sub.h uḌe
niiñd nahā.ī is duniyā par barse rañg
ishq ki ek rangin sada par barse rang
rang ho majnun aur laila par barse rang
kab tak chunari par hi zulm hon rangon ke
rangreza teri bhi qaba par barse rang
KHwab bharen teri aankhen meri aankhon mein
ek ghaTa se ek ghaTa par barse rang
ek satrangi KHushbu oDh ke nikle tu
is be-rang udas hawa par barse rang
ai dewi ruKHsar pe tere rang lage
jogi ki almast jaTa par barse rang
mere anasir KHak na hon bas rang banen
aur jangal sahra dariya par barse rang
suraj apne par jhaTke aur subh uDe
nind nahai is duniya par barse rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.