kushada sahn khuli khiDkiyan sunahri dhup
kushāda sahn khulī khiḌkiyāñ sunahrī dhuup
qadīm peḌ jhukī Tahniyāñ sunahrī dhuup
vo justujū kā nasha bachpane ke vo mausam
ladī-phañdī huī jhar-beriyāñ sunahrī dhuup
lipe-pute hue āñgan meñ dhuup chhāñv kā khel
vo mere gaañv kā kachchā makāñ sunahrī dhuup
nigaltā jaatā hai bārūd rang phūloñ ke
ye mujh se kartī hai sargoshiyāñ sunahrī dhuup
kahāñ se lā.eñge bachchoñ ke vāste apne
ga.ī sadī kā khulā āsmāñ sunahrī dhuup
kahāniyoñ meñ sunāyā kareñge aage log
sitāre phuul dhanak titliyāñ sunahrī dhuup
ḳhudā-na-karda ki miTTī se ho kabhī nārāz
ye muskurātī huī mehrbāñ sunahrī dhuup
kushada sahn khuli khiDkiyan sunahri dhup
qadim peD jhuki Tahniyan sunahri dhup
wo justuju ka nasha bachpane ke wo mausam
ladi-phandi hui jhar-beriyan sunahri dhup
lipe-pute hue aangan mein dhup chhanw ka khel
wo mere ganw ka kachcha makan sunahri dhup
nigalta jata hai barud rang phulon ke
ye mujh se karti hai sargoshiyan sunahri dhup
kahan se laenge bachchon ke waste apne
gai sadi ka khula aasman sunahri dhup
kahaniyon mein sunaya karenge aage log
sitare phul dhanak titliyan sunahri dhup
KHuda-na-karda ki miTTi se ho kabhi naraaz
ye muskuraati hui mehrban sunahri dhup
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 92)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.