jab intizar ke lamhe pighalne lagte hain
jab intizār ke lamhe pighalne lagte haiñ
galī ke log mire dil pe chalne lagte haiñ
maiñ is liye bhī parindoñ se duur bhāgtā huuñ
ki unmeñ reh ke mire par nikalne lagte haiñ
kabhī-kabhī kisī bachche kī ruuh aatī hai
kabhī-kabhī mire ghar geñd uchhalne lagte haiñ
'ajīb peḌ haiñ in ko hayā nahīñ aatī
hamāre sāmne kapḌe badalne lagte haiñ
vo haath haath meñ aane kī der hotī hai
sitāre aur kisī ruḳh pe chalne lagte haiñ
jab āsmān pe 'tābish' dhanak ubhartī hai
ham apne saath chhatoñ par Tahalne lagte haiñ
jab intizar ke lamhe pighalne lagte hain
gali ke log mere dil pe chalne lagte hain
main is liye bhi parindon se dur bhagta hun
ki unmen reh ke mere par nikalne lagte hain
kabhi-kabhi kisi bachche ki ruh aati hai
kabhi-kabhi mere ghar gend uchhalne lagte hain
'ajib peD hain in ko haya nahin aati
hamare samne kapDe badalne lagte hain
wo hath hath mein aane ki der hoti hai
sitare aur kisi ruKH pe chalne lagte hain
jab aasman pe 'tabish' dhanak ubharti hai
hum apne sath chhaton par Tahalne lagte hain
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 87)
- Author :Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.