aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab nazar uski aan paDti hai

Sauda Mohammad Rafi

jab nazar uski aan paDti hai

Sauda Mohammad Rafi

MORE BYSauda Mohammad Rafi

    jab nazar us aan paḌtī hai

    zindagī tab dhiyān paḌtī hai

    jhel lete haiñ āshiq ai farhād

    jis ke sar jaisī aan paḌtī hai

    hai jafā se ġharaz use itnī

    ki vafā imtihān paḌtī hai

    nazar un mah-vishāñ hai zālim

    kyā ġhazab ān-bān paḌtī hai

    qadd-e-zāhid nazar meñ chille ba.ad

    utrī kuchh kamān paḌtī hai

    baat is dil ke dard yaaro

    guftugū meñ nidān paḌtī hai

    ek ke muñh se jis ghaḌī niklī

    phir to sau zabān paḌtī hai

    lekin itnā koī kahe mujh se

    kabhū us ke bhī kaan paḌtī hai

    be-sabātī zamāne nā-chār

    karnī mujh ko bayān paḌtī hai

    garm-joshī-e-dostāñ ba-nazar

    ātish-e-kārvān paḌtī hai

    dil se pūchhā ye maiñ ki ishq raah

    kis taraf mehrbān paḌtī hai

    kahā un ne ki ne ba-hindustāñ

    ne sū-e-asfhān paḌtī hai

    ye do-rāhā jo kufr o diiñ hai

    donoñ ke darmiyān paḌtī hai

    manzilat sher tire 'saudā'

    yuuñ ba-vahm-o-gumāñ paḌtī hai

    nahīñ 'īsā' par suḳhan se tire

    tan-e-be-jāñ meñ jaan paḌtī hai

    jab nazar us ki aan paDti hai

    zindagi tab dhiyan paDti hai

    jhel lete hain aashiq ai farhad

    jis ke sar jaisi aan paDti hai

    hai jafa se gharaz use itni

    ki wafa imtihan paDti hai

    nazar un mah-wishan ki hai zalim

    kya ghazab aan-ban paDti hai

    qadd-e-zahid nazar mein chille baad

    utri si kuchh kaman paDti hai

    baat is dil ke dard ki yaro

    guftugu mein nidan paDti hai

    ek ke munh se jis ghaDi nikli

    phir to sau ki zaban paDti hai

    lekin itna koi kahe mujh se

    kabhu us ke bhi kan paDti hai

    be-sabaati zamane ki na-chaar

    karni mujh ko bayan paDti hai

    garm-joshi-e-dostan ba-nazar

    aatish-e-karwan paDti hai

    dil se puchha ye main ki ishq ki rah

    kis taraf mehrban paDti hai

    kaha un ne ki ne ba-hindustan

    ne su-e-asfhan paDti hai

    ye do-raha jo kufr o din ka hai

    donon ke darmiyan paDti hai

    manzilat sher ki tere 'sauda'

    yun ba-wahm-o-guman paDti hai

    nahin 'isa' tu par suKHan se tere

    tan-e-be-jaan mein jaan paDti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now