jin ke main dil mein raha karta tha dhaDkan ki tarah
jin ke maiñ dil meñ rahā kartā thā dhaḌkan kī tarah
vo mirā naam bhī ab lete haiñ dushman kī tarah
kisī jaadū kisī Tone se na aa.ī bas meñ
merī taqdīr hai rūThe hue sājan kī tarah
tum hameñ bhuul ga.e jā ke na.ī duniyā meñ
ham sulagte rahe barsāt ke īñdhan kī tarah
kal vo hī log jinheñ maiñ ne kahā thā apnā
aaj baiThe haiñ mirī raah meñ rahzan kī tarah
apnī qismat meñ to bas ḳhāk-nashīñ honā hai
ham na māthe pe sajeñge kabhī chandan kī tarah
us kā hī dāman-e-ummīd bharā jā.egā
un ke darbār meñ jā.egā jo nirdhan kī tarah
naaz ham apnī javānī pe kareñ kyoñ 'gulshan'
chhoḌ kar ye bhī chalī jā.egī bachpan kī tarah
jin ke main dil mein raha karta tha dhaDkan ki tarah
wo mera nam bhi ab lete hain dushman ki tarah
kisi jadu kisi Tone se na aai bas mein
meri taqdir hai ruThe hue sajan ki tarah
tum hamein bhul gae ja ke nai duniya mein
hum sulagte rahe barsat ke indhan ki tarah
kal wo hi log jinhen main ne kaha tha apna
aaj baiThe hain meri rah mein rahzan ki tarah
apni qismat mein to bas KHak-nashin hona hai
hum na mathe pe sajenge kabhi chandan ki tarah
us ka hi daman-e-ummid bhara jaega
un ke darbar mein jaega jo nirdhan ki tarah
naz hum apni jawani pe karen kyon 'gulshan'
chhoD kar ye bhi chali jaegi bachpan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.