Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ko paDi ho apne gareban ke tar ki

Betab Azimabadi

jis ko paDi ho apne gareban ke tar ki

Betab Azimabadi

MORE BYBetab Azimabadi

    jis ko paḌī ho apne garebāñ ke taar

    ro.e ḳhizāñ ko ḳhair manā.e bahār

    me.arāj us ko kahiye hamāre ġhubār

    varna ye ḳhaak aur havā kū-e-yār

    pazhmurda phuul huuñ chaman-e-rozgār

    tasvīr huuñ do-rañgī-e-lail-o-nahār

    nīchī nigāh aaḌ meñ mizhgāñ al-amān

    sayyād jaise ghaat meñ baiThe shikār

    chīn-e-jabīn-e-yār chhuriyāñ vahīñ chalīñ

    joñ taḌap baḌhī nigah-e-intizār

    muñh faq hai is tarah mirī sub.h-e-firāq

    jaise ho pahlī shaam ġharīb-ud-dayār

    'betāb' ḳhatm kar ga.e ustād-e-nām-dār

    jādū-nigāriyāñ qalam-e-sehr-kār

    jis ko paDi ho apne gareban ke tar ki

    roe KHizan ko KHair manae bahaar ki

    mearaj us ko kahiye hamare ghubar ki

    warna ye KHak aur hawa ku-e-yar ki

    pazhmurda phul hun chaman-e-rozgar ka

    taswir hun do-rangi-e-lail-o-nahaar ki

    nichi nigah aaD mein mizhgan ki al-aman

    sayyaad jaise ghat mein baiThe shikar ki

    chin-e-jabin-e-yar ki chhuriyan wahin chalin

    jon hi taDap baDhi nigah-e-intizar ki

    munh faq hai is tarah meri subh-e-firaq ka

    jaise ho pahli sham gharib-ud-dayar ki

    'betab' KHatm kar gae ustad-e-nam-dar

    jadu-nigariyan qalam-e-sehr-kar ki

    Source:

    (Pg. 66)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now