Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis tarah ki hain ye diwaren ye dar jaisa bhi hai

Anwar Masood

jis tarah ki hain ye diwaren ye dar jaisa bhi hai

Anwar Masood

MORE BYAnwar Masood

    jis tarah haiñ ye dīvāreñ ye dar jaisā bhī hai

    sar chhupāne ko mayassar to hai ghar jaisā bhī hai

    us ko mujh se mujh ko us se nisbateñ haiñ be-shumār

    merī chāhat hai mehvar ye nagar jaisā bhī hai

    chal paḌā huuñ shauq-e-be-parvā ko murshid maan kar

    rāsta pur-pech hai pur-ḳhatar jaisā bhī hai

    sab gavārā hai thakan saarī dukhan saarī chubhan

    ek ḳhushbū ke liye hai ye safar jaisā bhī hai

    vo to hai maḳhsūs ik terī mohabbat ke liye

    terā 'anvar' bā-hunar be-hunar jaisā bhī hai

    jis tarah ki hain ye diwaren ye dar jaisa bhi hai

    sar chhupane ko mayassar to hai ghar jaisa bhi hai

    us ko mujh se mujh ko us se nisbaten hain be-shumar

    meri chahat ka hai mehwar ye nagar jaisa bhi hai

    chal paDa hun shauq-e-be-parwa ko murshid man kar

    rasta pur-pech hai ya pur-KHatar jaisa bhi hai

    sab gawara hai thakan sari dukhan sari chubhan

    ek KHushbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai

    wo to hai maKHsus ek teri mohabbat ke liye

    tera 'anwar' ba-hunar ya be-hunar jaisa bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now