karam ho kar ata ho kar baras jud-o-saKHa ho kar
karam ho kar 'atā ho kar baras jūd-o-saḳhā ho kar
kabhī sairāb kar de tan-badan kaalī ghaTā ho kar
bichhaḌnā thā muqaddar vo magar bichhḌā ḳhafā ho kar
thā jis kā Dar rahā āḳhir vahī ik sāniha ho kar
savālī ho agar to 'ājizī se sar jhukā rakkho
nahīñ jachte ye tevar ye anā hargiz gadā ho kar
kareñ tadbīr mā-hāsil magar mā'lūm hai is kā
haiñ sunte aa.e rahtā hai muqaddar kā likhā ho kar
ḳhudā.ī kā ye lahja dūriyāñ dekho baḌhā degā
samajh lenā ḳhasāra hī uThāoge ḳhudā ho kar
milan meñ aur judā.ī meñ alag haiñ rang jazboñ ke
sadā-e-dard ho rahnā kabhī rahnā ġhinā ho kar
miTā dene se ḳhud ko manzileñ miltī haiñ ulfat meñ
na kho denā kisī din tum mujhe sarf-e-anā ho kar
kisī kī aas hai yūñhī nahīñ ye lau lagī is ko
papīhā dil kā rahtā hai jo yuuñ naġhma-sarā ho kar
balā hai 'ishq logoñ ne bahut samjhāyā thā lekin
na pūchho lazzateñ pā.īñ jo is meñ mubtalā ho kar
hai kyā alfāz kī jādūgarī goyā samā'at meñ
khilāte haiñ ka.ī gul un laboñ se jo adā ho kar
nahīñ thā sahl miTTī kā safar kundan talak 'nasrīñ'
'atā-e-'ishq hai āḳhir rahe ham kīmiyā ho kar
karam ho kar 'ata ho kar baras jud-o-saKHa ho kar
kabhi sairab kar de tan-badan kali ghaTa ho kar
bichhaDna tha muqaddar wo magar bichhDa KHafa ho kar
tha jis ka Dar raha aaKHir wahi ek saniha ho kar
sawali ho agar to 'ajizi se sar jhuka rakkho
nahin jachte ye tewar ye ana hargiz gada ho kar
karen tadbir ma-hasil magar ma'lum hai is ka
hain sunte aae rahta hai muqaddar ka likha ho kar
KHudai ka ye lahja duriyan dekho baDha dega
samajh lena KHasara hi uThaoge KHuda ho kar
milan mein aur judai mein alag hain rang jazbon ke
sada-e-dard ho rahna kabhi rahna ghina ho kar
miTa dene se KHud ko manzilen milti hain ulfat mein
na kho dena kisi din tum mujhe sarf-e-ana ho kar
kisi ki aas hai yunhi nahin ye lau lagi is ko
papiha dil ka rahta hai jo yun naghma-sara ho kar
bala hai 'ishq logon ne bahut samjhaya tha lekin
na puchho lazzaten pain jo is mein mubtala ho kar
hai kya alfaz ki jadugari goya sama'at mein
khilate hain kai gul un labon se jo ada ho kar
nahin tha sahl miTTi ka safar kundan talak 'nasrin'
'ata-e-'ishq hai aaKHir rahe hum kimiya ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.