kisi paiman-e-baham ke qafas hone se pahle
kisī paimān-e-bāham ke qafas hone se pahle
parakhnā ḳhud pe us kī dastaras hone se pahle
sitam hai vaqt kā aur vaqt kab kis kā huā hai
tanāvar peḌ thī maiñ ḳhār-o-ḳhas hone se pahle
baḌī tartīb se chaltā hai kārobār-e-gulshan
hai khilnā gul kā juuñ said-e-magas hone se pahle
zarā sā chhū ke kundan kar diyā hai tan-badan ko
ġhubār-e-rāh thī maiñ tum se mas hone se pahle
kabhī aao ki mujh ko e'tibār-e-zindagī ho
magar ye zindagī kār-e-‘abas hone se pahle
asar dil par huā hai jo tumhārī be-ruḳhī se
koī marham asar ke dūr-ras hone se pahle
rahe ye dhyān meñ pal pal badalte haiñ ravayye
hisār-e-'ishq ke dām-e-havas hone se pahle
bahut lambī masāfat zindagī kam hai so karnā
safar āġhāz āvāz-e-jaras hone se pahle
haiñ jis kī muntazir 'nasrīñ' ye āñkheñ kaash aa.e
fanā-e-naġhma-e-tār-e-nafas hone se pahle
kisi paiman-e-baham ke qafas hone se pahle
parakhna KHud pe us ki dastaras hone se pahle
sitam hai waqt ka aur waqt kab kis ka hua hai
tanawar peD thi main KHar-o-KHas hone se pahle
baDi tartib se chalta hai karobar-e-gulshan
hai khilna gul ka jun said-e-magas hone se pahle
zara sa chhu ke kundan kar diya hai tan-badan ko
ghubar-e-rah thi main tum se mas hone se pahle
kabhi aao ki mujh ko e'tibar-e-zindagi ho
magar ye zindagi kar-e-‘abas hone se pahle
asar dil par hua hai jo tumhaari be-ruKHi se
koi marham asar ke dur-ras hone se pahle
rahe ye dhyan mein pal pal badalte hain rawayye
hisar-e-'ishq ke dam-e-hawas hone se pahle
bahut lambi masafat zindagi kam hai so karna
safar aaghaz aawaz-e-jaras hone se pahle
hain jis ki muntazir 'nasrin' ye aankhen kash aae
fana-e-naghma-e-tar-e-nafas hone se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.