aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kiya hai tu ne to jaan-e-jahan jahan tasKHir

Mirza Azfari

kiya hai tu ne to jaan-e-jahan jahan tasKHir

Mirza Azfari

MORE BYMirza Azfari

    kiyā hai ne to jān-e-jahāñ jahāñ tasḳhīr

    huā hai husn shohra tirā to ālam-gīr

    nahā ke baal jo sarkā.e gore chehre se

    to jaise chāñd nikal aayā kaalī badrī chiir

    na ḳhūb-rū tujhe kah sakte haiñ na mahr na maah

    ajab gaḌhī yad-e-qudrat ne kuchh tirī tasvīr

    jahāñ paḌā tirā saaya ugā vahāñ gulzār

    qadam dharā hai jis banā hai mushk-o-abīr

    shikār kar liyā saarā jahāñ shikār-andāz

    huā hai paar nigah se tirī nigāh tiir

    hue na zab.h na fitrāk tak ye pahuñche

    idhar udhar haiñ taḌapte ye nīm-jāñ naḳhchīr

    hai 'azfarī' vo siyah-baḳht saañp kaaTā bhī

    paḌī hai zulf aa jis ke paañv meñ zanjīr

    kiya hai tu ne to jaan-e-jahan jahan tasKHir

    hua hai husn ka shohra tera to aalam-gir

    naha ke baal jo sarkae gore chehre se

    to jaise chand nikal aaya kali badri chir

    na KHub-ru tujhe kah sakte hain na mahr na mah

    ajab gaDhi yad-e-qudrat ne kuchh teri taswir

    jahan paDa tera saya uga wahan gulzar

    qadam dhara hai tu jis ja bana hai mushk-o-abir

    shikar kar liya sara jahan shikar-andaz

    hua hai par nigah se teri nigah ka tir

    hue na zabh na fitrak tak ye ja pahunche

    idhar udhar hain taDapte ye nim-jaan naKHchir

    hai 'azfari' wo siyah-baKHt sanp kaTa bhi

    paDi hai zulf ki aa jis ke panw mein zanjir

    Source:

    Deewan-e-Azfari (Pg. ebook-15 page-6)

    • Author: Mirza Azfari
      • Edition: 1939
      • Publisher: University of Madras
      • Year of Publication: 1939
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now