aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koshish hai gar uski ki pareshan karega

Aslam Emadi

koshish hai gar uski ki pareshan karega

Aslam Emadi

MORE BYAslam Emadi

    koshish hai gar us ki pareshān karegā

    vo dushman-e-jāñ dard ko āsān karegā

    ham us ko javāboñ se pashemān kareñge

    vo ham ko savāloñ se pashemān karegā

    pahlū-tahī karte hue duzdīda jo dekhe

    chehre ke ta.assur se vo hairān karegā

    chhup ke aa.e ki bar-afganda-naqāb aa.e

    dil yahī aadat hai ki nuqsān karegā

    qazzāqoñ bastī meñ rahā karte haiñ ham sab

    har ghar ko koī dūsrā vīrān karegā

    har Tiis se ubhregī tirī yaad ḳhushbū

    har zaḳhm mire shauq pe ehsān karegā

    'aslam' ye sunā hai ki mirā shahr-e-vafā bhī

    taḳhrīb ko sharminda-e-īqān karegā

    koshish hai gar us ki ki pareshan karega

    wo dushman-e-jaan dard ko aasan karega

    hum us ko jawabon se pasheman karenge

    wo hum ko sawalon se pasheman karega

    pahlu-tahi karte hue duzdida jo dekhe

    chehre ke tassur se wo hairan karega

    tu chhup ke hi aae ki bar-afganda-naqab aae

    dil ki yahi aadat hai ki nuqsan karega

    qazzaqon ki basti mein raha karte hain hum sab

    har ghar ko koi dusra viran karega

    har Tis se ubhregi teri yaad ki KHushbu

    har zaKHm mere shauq pe ehsan karega

    'aslam' ye suna hai ki mera shahr-e-wafa bhi

    taKHrib ko sharminda-e-iqan karega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now