Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahdud-nigahi ke sanam TuT rahe hain

Hayat Warsi

mahdud-nigahi ke sanam TuT rahe hain

Hayat Warsi

MORE BYHayat Warsi

    mahdūd-nigāhī ke sanam TuuT rahe haiñ

    tārīk ujāloñ ke bharam TuuT rahe haiñ

    is daur badlī huī raftār aalam

    shīshoñ tarah naqsh-e-qadam TuuT rahe haiñ

    tishna hai mirā jaam to kuchh ġham nahīñ saaqī

    ye ġham hai ki rindoñ ke bharam TuuT rahe haiñ

    is raaz ko arbāb-e-siyāsat se na pūchho

    kyuuñ rābta-e-dair-o-haram TuuT rahe haiñ

    ye ziist hai riit kamzor gharauñdā

    ban ban ke yuuñ sadiyoñ se ham TuuT rahe haiñ

    hālāt ye ruḳh bhī 'hayāt' aap samajh leñ

    kyuuñ zulm ba-andāz-e-karam TuuT rahe haiñ

    mahdud-nigahi ke sanam TuT rahe hain

    tarik ujalon ke bharam TuT rahe hain

    is daur ki badli hui raftar ka aalam

    shishon ki tarah naqsh-e-qadam TuT rahe hain

    tishna hai mera jam to kuchh gham nahin saqi

    ye gham hai ki rindon ke bharam TuT rahe hain

    is raaz ko arbab-e-siyasat se na puchho

    kyun rabta-e-dair-o-haram TuT rahe hain

    ye zist hai ya rit ka kamzor gharaunda

    ban ban ke yun hi sadiyon se hum TuT rahe hain

    haalat ka ye ruKH bhi 'hayat' aap samajh len

    kyun zulm ba-andaz-e-karam TuT rahe hain

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 206)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now