main baDhata hun raushni dekhen
maiñ baḌhātā huuñ raushnī dekheñ
ġhaur se ghar kī tīrgī dekheñ
vaqt ab Thiik chal rahā hai mirā
aap ye qīmtī ghaḌī dekheñ
kitne logoñ kī 'arziyāñ hoñgī
us kī raddī kī Tokarī dekheñ
merī hairat pe jin ko hairat hai
us kī tasvīr lāzmī dekheñ
ab lagāte haiñ duur kī 'ainak
āñkheñ dekhī haiñ ḳhvāb bhī dekheñ
mujh se patthar ko muñh chiḌhātā hai
aa.ine kī bahādurī dekheñ
mujh ko mat rokeñ dekhne se use
dekh sakte haiñ aap bhī dekheñ
main baDhata hun raushni dekhen
ghaur se ghar ki tirgi dekhen
waqt ab Thik chal raha hai mera
aap ye qimti ghaDi dekhen
kitne logon ki 'arziyan hongi
us ki raddi ki Tokari dekhen
meri hairat pe jin ko hairat hai
us ki taswir lazmi dekhen
ab lagate hain dur ki 'ainak
aankhen dekhi hain KHwab bhi dekhen
mujh se patthar ko munh chiDhata hai
aaine ki bahaduri dekhen
mujh ko mat roken dekhne se use
dekh sakte hain aap bhi dekhen
- Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 29)
- Author : Umair Nazmi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.