main nauhagar hun bhaTakte hue qabilon ka
maiñ nauhagar huuñ bhaTakte hue qabīloñ kā
ujaḌte shahr kī girtī huī fasīloñ kā
nikal ke jā.ūñ kahāñ karbalā ke maidāñ se
ufuq se tā-ba-ufuq silsila hai Tīloñ kā
marā nahīñ huuñ magar rā.egāñ na jā.egā
gidhoñ kā nīche utarnā tavāf chīloñ kā
bahut hī duur the par dil ke paas rahte the
qarīb hote hue fāsla hai mīloñ kā
aThārah saal se karte haiñ shā'irī 'alvī'
ye jānte hue pesha hai ye zalīloñ kā
main nauhagar hun bhaTakte hue qabilon ka
ujaDte shahr ki girti hui fasilon ka
nikal ke jaun kahan karbala ke maidan se
ufuq se ta-ba-ufuq silsila hai Tilon ka
mara nahin hun magar raegan na jaega
gidhon ka niche utarna tawaf chilon ka
bahut hi dur the par dil ke pas rahte the
qarib hote hue fasla hai milon ka
aThaarah sal se karte hain sha'iri 'alwi'
ye jaante hue pesha hai ye zalilon ka
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 51)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.