Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujh pe tu mehrban hai pyare

Gopal Mittal

mujh pe tu mehrban hai pyare

Gopal Mittal

MORE BYGopal Mittal

    mujh pe mehrbān hai pyāre

    ye bhī ik imtihān hai pyāre

    ye tirā āstān jalva hai

    mere dil bhī shaan hai pyāre

    kaun kahtā hai bevafā tujh ko

    kis ke muñh meñ zabān hai pyāre

    āshiqī aur shikva-e-bedād

    ye tujhe kyā gumān hai pyāre

    tere kūche vaah kyā kahnā

    ye zamīñ āsmān hai pyāre

    hai fasāna agar jahāñ to ishq

    is fasāne jaan hai pyāre

    salāmat rahe tire dam se

    dil duniyā javān hai pyāre

    haa.e vo dāstān-e-ġham jis

    ḳhāmushī tarjumān hai pyāre

    dil betābiyoñ haal na pūchh

    ek aafat meñ jaan hai pyāre

    ham bhī urdu pe naaz karte haiñ

    ye hamārī zabān hai pyāre

    mujh pe tu mehrban hai pyare

    ye bhi ek imtihan hai pyare

    ye tera aastan jalwa hai

    mere dil ki bhi shan hai pyare

    kaun kahta hai bewafa tujh ko

    kis ke munh mein zaban hai pyare

    aashiqi aur shikwa-e-bedad

    ye tujhe kya guman hai pyare

    tere kuche ka wah kya kahna

    ye zamin aasman hai pyare

    hai fasana agar jahan to ishq

    is fasane ki jaan hai pyare

    tu salamat rahe tere dam se

    dil ki duniya jawan hai pyare

    hae wo dastan-e-gham jis ki

    KHamushi tarjuman hai pyare

    dil ki betabiyon ka haal na puchh

    ek aafat mein jaan hai pyare

    hum bhi urdu pe naz karte hain

    ye hamari zaban hai pyare

    Source:

    Kulliyat-e-gopal mittal (Pg. 145)

    • Author: Gopal Mittal
      • Edition: 1994
      • Publisher: Modern Publishing House, Daryaganj New delhi
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now