Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na chhoDa dil-e-KHasta-jaan chalte chalte

Rasheed lakhnavi

na chhoDa dil-e-KHasta-jaan chalte chalte

Rasheed lakhnavi

MORE BYRasheed lakhnavi

    na chhoḌā dil-e-ḳhasta-jāñ chalte chalte

    ġhazab kar chale mehrbāñ chalte chalte

    kaheñge kuchh ai bāġhbāñ chalte chalte

    agar degī yaarā zabāñ chalte chalte

    gire ham pas-e-kārvāñ chalte chalte

    thake paañv apne kahāñ chalte chalte

    tirī chaal bād-e-ḳhizāñ ne uḌaa.ī

    ujāḌā mirā āshiyāñ chalte chalte

    karo āñkheñ jhapkā ke tirchhī nigāheñ

    sināneñ chalīñ barchhiyāñ chalte chalte

    bhareñ sard aaheñ jo garm aah bhar ke

    nasīm aa.ī bād-e-ḳhizāñ chalte chalte

    na ghabrā zarā dāman-e-roz-e-mahshar

    karūñgā tirī dhajjiyāñ chalte chalte

    adam ko chale qaid zulf-e-sanam meñ

    raheñ paañv meñ beḌiyāñ chalte chalte

    dam-e-naz.a sar par gire koh-e-ulfat

    uThā.īñ baḌī saḳhtiyāñ chalte chalte

    mirī laash ko paañv se ḳhuub rauñdā

    thame sūrat-e-āsmāñ chalte chalte

    bas ab to adam meñ mulāqāt hogī

    ye kahte ga.e raftagāñ chalte chalte

    na qātil ne teġh-e-nigah tak lagā.ī

    na kartā gayā imtihāñ chalte chalte

    jahāñ se ga.e hashr tak ḳhuub so.e

    liyā saath ḳhvāb-e-girāñ chalte chalte

    rahe umr-bhar terī vahdat ke qaa.il

    na liiñ ham ne do hichkiyāñ chalte chalte

    'rashīd'-e-hazīñ laakh rokā kiye ham

    vo lete ga.e naqd-e-jāñ chalte chalte

    na chhoDa dil-e-KHasta-jaan chalte chalte

    ghazab kar chale mehrban chalte chalte

    kahenge kuchh ai baghban chalte chalte

    agar degi yara zaban chalte chalte

    gire hum pas-e-karwan chalte chalte

    thake panw apne kahan chalte chalte

    teri chaal baad-e-KHizan ne uDai

    ujaDa mera aashiyan chalte chalte

    karo aankhen jhapka ke tirchhi nigahen

    sinanen chalin barchhiyan chalte chalte

    bharen sard aahen jo garm aah bhar ke

    nasim aai baad-e-KHizan chalte chalte

    na ghabra zara daman-e-roz-e-mahshar

    karunga teri dhajjiyan chalte chalte

    adam ko chale qaid zulf-e-sanam mein

    rahen panw mein beDiyan chalte chalte

    dam-e-naza sar par gire koh-e-ulfat

    uThain baDi saKHtiyan chalte chalte

    meri lash ko panw se KHub raunda

    thame surat-e-asman chalte chalte

    bas ab to adam mein mulaqat hogi

    ye kahte gae raftagan chalte chalte

    na qatil ne tegh-e-nigah tak lagai

    na karta gaya imtihan chalte chalte

    jahan se gae hashr tak KHub soe

    liya sath KHwab-e-giran chalte chalte

    rahe umr-bhar teri wahdat ke qail

    na lin hum ne do hichkiyan chalte chalte

    'rashid'-e-hazin lakh roka kiye hum

    wo lete gae naqd-e-jaan chalte chalte

    Source:

    Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-103 page-95)

    • Author: Piyare Sahab Rasheed
      • Edition: 1952
      • Year of Publication: 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now