nok-e-KHanjar pe saje sar nahin dekhe jate
nok-e-ḳhanjar pe saje sar nahīñ dekhe jaate
ḳhūñ-chakāñ roz ke manzar nahīñ dekhe jaate
zulm vāloñ ke makāñ hoñ ki vo mazlūmoñ ke
ham se bastī ke jale ghar nahīñ dekhe jaate
maslahat-kosh nahīñ haq ke taraf-dār haiñ ham
farz ke sāmne patthar nahīñ dekhe jaate
had se baḌh jaa.e agar nashsha-e-bedād-garī
apne begānoñ ke phir sar nahīñ dekhe jaate
ho khulā haath nazar aa.eñ lakīreñ us kī
band muTThī meñ muqaddar nahīñ dekhe jaate
rang tasvīr ke andar hī bhale lagte haiñ
rang tasvīr ke bāhar nahīñ dekhe jaate
ab faqat chehroñ pe rahtī hai zamāne kī nazar
ab kisī shaḳhs ke jauhar nahīñ dekhe jaate
harf-e-haq aaj bhī hai ahl-e-vafā ke lab par
aaj vo dār-o-rasan par nahīñ dekhe jaate
dāman-e-ahl-e-hunar meñ nahīñ kyā chiiz 'azīz'
fikr-o-ehsās ke gauhar nahīñ dekhe jaate
nok-e-KHanjar pe saje sar nahin dekhe jate
KHun-chakan roz ke manzar nahin dekhe jate
zulm walon ke makan hon ki wo mazlumon ke
hum se basti ke jale ghar nahin dekhe jate
maslahat-kosh nahin haq ke taraf-dar hain hum
farz ke samne patthar nahin dekhe jate
had se baDh jae agar nashsha-e-bedad-gari
apne beganon ke phir sar nahin dekhe jate
ho khula hath nazar aaen lakiren us ki
band muTThi mein muqaddar nahin dekhe jate
rang taswir ke andar hi bhale lagte hain
rang taswir ke bahar nahin dekhe jate
ab faqat chehron pe rahti hai zamane ki nazar
ab kisi shaKHs ke jauhar nahin dekhe jate
harf-e-haq aaj bhi hai ahl-e-wafa ke lab par
aaj wo dar-o-rasan par nahin dekhe jate
daman-e-ahl-e-hunar mein nahin kya chiz 'aziz'
fikr-o-ehsas ke gauhar nahin dekhe jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.