pukarta hun paDa regzar mein ab bhi
pukārtā huuñ paḌā regzār meñ ab bhī
koī to hogā mire intizār meñ ab bhī
laraztā haath bharī aañkh ġham-zada chehra
dikhā.ī dete haiñ mujh ko ġhubār meñ ab bhī
har ek chiiz se uktā gayā hai dil apnā
vahī kashish hai magar husn-e-yār meñ ab bhī
mujhe pata hai vo kab kī chalī ga.ī hogī
khaḌā huā huuñ maiñ bus kī qatār meñ ab bhī
zarā Thahar maiñ abhī toḌ-phoḌ Dālūñgā
ye kā.enāt hai mere hisār meñ ab bhī
zamāna ho gayā tum se mile hue 'alvī'
tumhārā naam hai yāroñ ke yaar meñ ab bhī
pukarta hun paDa regzar mein ab bhi
koi to hoga mere intizar mein ab bhi
larazta hath bhari aankh gham-zada chehra
dikhai dete hain mujh ko ghubar mein ab bhi
har ek chiz se ukta gaya hai dil apna
wahi kashish hai magar husn-e-yar mein ab bhi
mujhe pata hai wo kab ki chali gai hogi
khaDa hua hun main bus ki qatar mein ab bhi
zara Thahar main abhi toD-phoD Dalunga
ye kaenat hai mere hisar mein ab bhi
zamana ho gaya tum se mile hue 'alwi'
tumhaara nam hai yaron ke yar mein ab bhi
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 64)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.