raat bhar pi ke laDkhaDate raho
raat bhar pī ke laḌkhaḌāte raho
sub.h masjid meñ sar jhukāte raho
toḌ Daalo tilism-e-bū-e-gul
mausam-e-gul meñ ḳhaak uḌāte raho
mahl tā'mīr kar lo dariyā meñ
ret meñ kashtiyāñ chalāte raho
hijr kī shab guzar hī jā.egī
taaza filmoñ ke giit gaate raho
phūñs meñ aag dhar ke haT jaao
chain kī bāñsurī bajāte raho
mat Daro nanhe-munne oloñ se
be-dhaḌak apnā sar muñDāte raho
sab raqīboñ se dostī kar lo
man-ghaḌat vasl kī sunāte raho
ab bhī milte haiñ gāñTh ke puure
DhūñDh lo aur udhār khāte raho
naam rakh lo ḳhalīl ḳhaañ apnā
aur phir fāḳhta uḌāte raho
log maġhlūb ho hī jā.eñge
she'r ġhālib ke gungunāte raho
ham bhī ustād haiñ suno 'alvī'
apnī ġhazleñ hameñ dikhāte raho
raat bhar pi ke laDkhaDate raho
subh masjid mein sar jhukate raho
toD Dalo tilism-e-bu-e-gul
mausam-e-gul mein KHak uDate raho
mahl ta'mir kar lo dariya mein
ret mein kashtiyan chalate raho
hijr ki shab guzar hi jaegi
taza filmon ke git gate raho
phuns mein aag dhar ke haT jao
chain ki bansuri bajate raho
mat Daro nanhe-munne olon se
be-dhaDak apna sar munDate raho
sab raqibon se dosti kar lo
man-ghaDat wasl ki sunate raho
ab bhi milte hain ganTh ke pure
DhunDh lo aur udhaar khate raho
nam rakh lo KHalil KHan apna
aur phir faKHta uDate raho
log maghlub ho hi jaenge
she'r ghaalib ke gungunate raho
hum bhi ustad hain suno 'alwi'
apni ghazlen hamein dikhate raho
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 33)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.