raat ke munh pe ujala chahiye
raat ke muñh pe ujālā chāhiye
chor ke ghar meñ bhī taalā chāhiye
ġham bahut din muft kī khātā rahā
ab ise dil se nikālā chāhiye
paañv meñ juutī na ho to kuchh nahīñ
haañ magar ek aadh chhālā chāhiye
haath phailāne se kuchh miltā nahīñ
bhīkh lene ko piyāla chāhiye
yaad un kī yuuñ na jā.egī ise
kuchh bahāna kar ke Taalā chāhiye
shā'irī māñge hai puurā aadmī
ab ise bhī mūñchh vaalā chāhiye
raat ke munh pe ujala chahiye
chor ke ghar mein bhi tala chahiye
gham bahut din muft ki khata raha
ab ise dil se nikala chahiye
panw mein juti na ho to kuchh nahin
han magar ek aadh chhaala chahiye
hath phailane se kuchh milta nahin
bhikh lene ko piyala chahiye
yaad un ki yun na jaegi ise
kuchh bahana kar ke Tala chahiye
sha'iri mange hai pura aadmi
ab ise bhi munchh wala chahiye
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 35)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.