rida-e-la-makan meri na bazm-e-kun-fakan meri

rida-e-la-makan meri na bazm-e-kun-fakan meri
Muzaffar Ahmad Muzaffar
MORE BYMuzaffar Ahmad Muzaffar
ridā-e-lā-makāñ merī na bazm-e-kun-fakāñ merī
mujhe le aa.ī hai mahrūmī-e-qismat kahāñ merī
zabāñ-zad misra'-e-sānī hai merā ek muddat se
na sub.h-e-zū-fishāñ merī na shām-e-be-karāñ merī
kaheñ to muḳhtasar kar duuñ abhī rūdād-e-ulfat ko
farishte so na jaa.eñ sunte sunte dāstāñ merī
zamāna dars-e-‘ibrat le mire hāl-e-pareshāñ se
jahāñ dohrā rahā hai kis liye phir dāstāñ merī
talātum-ḳhez maujeñ baḌh ke mujh ko rāsta deñgī
kahāñ tak taab lā.egā ye bahr-e-bekarāñ merī
haqīqat-āshnā hotā nahīñ har āshnā merā
shab-e-ġham kyoñ nahīñ bantī hai āḳhir rāz-dāñ merī
mire ajzā-e-hastī kī ḳhabar to ḳhair kyā kahiye
yahāñ DhūñDe se kab miltī hai ḳhāk-e-āshiyāñ merī
jahāñ se naz' kī hichkī ne rokā thā fasāne ko
vahīñ se chheḌ dī aa kar ye kis ne dāstāñ merī
qafas meñ Daal dī hai āshiyāñ kī tarh bil-āḳhir
guzar jaatī vagarna 'umr-e-rafta rā.egāñ merī
kahīñ aisā na ho Thukrā duuñ bazm-e-‘ālam-e-imkāñ
mohabbat se na ho jaa.e tabī'at bad-gumāñ merī
jahāñ bhī tīliyāñ rakhtā huuñ bahr-e-āshiyāñ-bandī
vahīñ se TūTne lagtī hai shāḳh-e-āshiyāñ merī
fanā kī manziloñ se tā.ir-e-jāñ paar ho jaatā
magar had ban ga.e āḳhir yahī kaun-o-makāñ merī
yahī to baat hai jis par 'muzaffar' naaz hai mujh ko
jabīñ ko chūmtā hai pyaar se hindostāñ merī
rida-e-la-makan meri na bazm-e-kun-fakan meri
mujhe le aai hai mahrumi-e-qismat kahan meri
zaban-zad misra'-e-sani hai mera ek muddat se
na subh-e-zu-fishan meri na sham-e-be-karan meri
kahen to muKHtasar kar dun abhi rudad-e-ulfat ko
farishte so na jaen sunte sunte dastan meri
zamana dars-e-‘ibrat le mere haal-e-pareshan se
jahan dohra raha hai kis liye phir dastan meri
talatum-KHez maujen baDh ke mujh ko rasta dengi
kahan tak tab laega ye bahr-e-bekaran meri
haqiqat-ashna hota nahin har aashna mera
shab-e-gham kyon nahin banti hai aaKHir raaz-dan meri
mere ajza-e-hasti ki KHabar to KHair kya kahiye
yahan DhunDe se kab milti hai KHak-e-ashiyan meri
jahan se naz' ki hichki ne roka tha fasane ko
wahin se chheD di aa kar ye kis ne dastan meri
qafas mein Dal di hai aashiyan ki tarh bil-aKHir
guzar jati wagarna 'umr-e-rafta raegan meri
kahin aisa na ho Thukra dun bazm-e-‘alam-e-imkan
mohabbat se na ho jae tabi'at bad-guman meri
jahan bhi tiliyan rakhta hun bahr-e-ashiyan-bandi
wahin se TuTne lagti hai shaKH-e-ashiyan meri
fana ki manzilon se tair-e-jaan par ho jata
magar had ban gae aaKHir yahi kaun-o-makan meri
yahi to baat hai jis par 'muzaffar' naz hai mujh ko
jabin ko chumta hai pyar se hindostan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.