Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sinon mein agar hoti kuchh pyar ki gunjaish

Asad Raza

sinon mein agar hoti kuchh pyar ki gunjaish

Asad Raza

MORE BYAsad Raza

    sīnoñ meñ agar hotī kuchh pyaar gunjā.ish

    hāthoñ meñ nikaltī kyuuñ talvār gunjā.ish

    pichhḌe hue gaañv shāyad hai vo bāshinda

    jo shahr meñ DhūñDe hai īsār gunjā.ish

    nafrat ta.assub yuuñ rakkhī ga.iiñ īñTeñ

    paidā huī zehnoñ meñ dīvār gunjā.ish

    pākīzgī rūhoñ nīlām huī jab se

    jismoñ meñ nikal aa.ī bāzār gunjā.ish

    is tarah khule dil se iqrār nahīñ karte

    rakh lījiye thoḌī inkār gunjā.ish

    gar azm musammam ho aur jehd-e-musalsal bhī

    sahrā meñ nikal aa.e gulzār gunjā.ish

    samjheñ ki na samjheñ vo ham ne to 'asad' rakh

    ash.ār ke hoñToñ pe iz.hār gunjā.ish

    sinon mein agar hoti kuchh pyar ki gunjaish

    hathon mein nikalti kyun talwar ki gunjaish

    pichhDe hue ganw ka shayad hai wo bashinda

    jo shahr mein DhunDe hai isar ki gunjaish

    nafrat ki tassub ki yun rakkhi gain inTen

    paida hui zehnon mein diwar ki gunjaish

    pakizgi ruhon ki nilam hui jab se

    jismon mein nikal aai bazar ki gunjaish

    is tarah khule dil se iqrar nahin karte

    rakh lijiye thoDi si inkar ki gunjaish

    gar azm musammam ho aur jehd-e-musalsal bhi

    sahra mein nikal aae gulzar ki gunjaish

    samjhen ki na samjhen wo hum ne to 'asad' rakh di

    ashaar ke honTon pe izhaar ki gunjaish

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 558)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now