teri kami se KHushi ka bohran baDh gaya hai
tirī kamī se ḳhushī kā bohrān baḌh gayā hai
so shahr meñ ḳhud-kushī kā ruj.hān baḌh gayā hai
hamārā ik aur dost aaj us ko dekh aayā
hamāre halqe meñ ek hairān baḌh gayā hai
bharūñgā maiñ shāhrāh-e-ġham par izāfī mahsūl
muqarrara had se merā sāmān baḌh gayā hai
junūñ lagāyā thā 'ishq ke kārobār meñ sab
tū naf' chhoḌ asl zar se nuqsān baḌh gayā hai
tū ġhair-maujūdgī meñ bhī hai kuchh itnā maujūd
ḳhudā kī maujūdgī pe īmān baḌh gayā hai
ise baḌhāyā to koī shiryān phaT na jaa.e
fishār-e-ḳhūn is ġhazal ke daurān baḌh gayā hai
ga.e vo din jaan de ke jab jaan chhūT jaatī
'umair' ab āgahī kā tāvān baḌh gayā hai
teri kami se KHushi ka bohran baDh gaya hai
so shahr mein KHud-kushi ka rujhan baDh gaya hai
hamara ek aur dost aaj us ko dekh aaya
hamare halqe mein ek hairan baDh gaya hai
bharunga main shahrah-e-gham par izafi mahsul
muqarrara had se mera saman baDh gaya hai
junun lagaya tha 'ishq ke karobar mein sab
tu naf' chhoD asl zar se nuqsan baDh gaya hai
tu ghair-maujudgi mein bhi hai kuchh itna maujud
KHuda ki maujudgi pe iman baDh gaya hai
ise baDhaya to koi shiryan phaT na jae
fishaar-e-KHun is ghazal ke dauran baDh gaya hai
gae wo din jaan de ke jab jaan chhuT jati
'umair' ab aagahi ka tawan baDh gaya hai
- Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 26)
- Author : Umair Nazmi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.