Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujh bin bahut hi kaTti hai auqat be-tarah

Sauda Mohammad Rafi

tujh bin bahut hi kaTti hai auqat be-tarah

Sauda Mohammad Rafi

MORE BYSauda Mohammad Rafi

    tujh bin bahut kaTtī hai auqāt be-tarah

    jūñ-tūñ ke din to guzre hai par raat be-tarah

    hotī hai ek tarah se har kaam jazā

    a.amāl-e-ishq hai mukāfāt be-tarah

    bulbul kar us chaman meñ samajh kar Tuk āshiyāñ

    sayyād lag rahā hai tirī ghaat be-tarah

    pūchhā payām-bar se jo maiñ yaar javāb

    kahne lagā ḳhamosh ki hai baat be-tarah

    milne na degā ham se tujhe ek-dam raqīb

    pīchhe lagā phire hai vo bad-zāt be-tarah

    koī mor hai to rahe is meñ shaiḳh-jī

    dāḌhī paḌī hai shāne ke ab haath be-tarah

    'saudā' na mil kar apnī ab zindagī pe rahm

    hai us javāñ tarz-e-mulāqāt be-tarah

    tujh bin bahut hi kaTti hai auqat be-tarah

    jun-tun ke din to guzre hai par raat be-tarah

    hoti hai ek tarah se har kaam ki jaza

    aamal-e-ishq ki hai mukafat be-tarah

    bulbul kar us chaman mein samajh kar Tuk aashiyan

    sayyaad lag raha hai teri ghat be-tarah

    puchha payam-bar se jo main yar ka jawab

    kahne laga KHamosh ki hai baat be-tarah

    milne na dega hum se tujhe ek-dam raqib

    pichhe laga phire hai wo bad-zat be-tarah

    koi hi mor hai to rahe is mein shaiKH-ji

    daDhi paDi hai shane ke ab hath be-tarah

    'sauda' na mil kar apni tu ab zindagi pe rahm

    hai us jawan ki tarz-e-mulaqat be-tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now