Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe pa kar bhi jab koi kami mahsus hoti hai

Khalid Mahmood Zaki

tujhe pa kar bhi jab koi kami mahsus hoti hai

Khalid Mahmood Zaki

MORE BYKhalid Mahmood Zaki

    tujhe kar bhī jab koī kamī mahsūs hotī hai

    to phir ye saañs bhī ruktī huī mahsūs hotī hai

    jo kahnā nahīñ us ishāra kyuuñ diyā jaa.e

    ki aisī baat to kuchh aur bhī mahsūs hotī hai

    adīm-ul-fursatī shiddat se us yaad aa jaanā

    ġhanīmat hai agar ye tishnagī mahsūs hotī hai

    palaT kar aa ga.e ho tum to kyuuñ aa.e nahīñ lagte

    tumhārī aañkh meñ kyuuñ gard mahsūs hotī hai

    vagarna bojh hai jis ko liye phirnā hai kāñdhe par

    kareñ mahsūs to ye zindagī mahsūs hotī hai

    shajar vo bhī jise sīñchā ho apnā ḳhuun de de kar

    kabhī us bhī chhāñv ajnabī mahsūs hotī hai

    ye mere ḳhvāb haiñ jo saaya karte haiñ mire sar par

    mujhe is dopahar meñ chhāñv mahsūs hotī hai

    kisī guftugū ke darmiyāñ aksar na jaane kyuuñ

    kahīñ gahrī koī ḳhāmushī mahsūs hotī hai

    zamīñ terī tarah maiñ bhī safar meñ huuñ ki jaise

    kabhī Thahrī nahīñ Thahrī huī mahsūs hotī hai

    tujhe pa kar bhi jab koi kami mahsus hoti hai

    to phir ye sans bhi rukti hui mahsus hoti hai

    jo kahna hi nahin us ka ishaara kyun diya jae

    ki aisi baat to kuchh aur bhi mahsus hoti hai

    adim-ul-fursati shiddat se us ka yaad aa jaana

    ghanimat hai agar ye tishnagi mahsus hoti hai

    palaT kar aa gae ho tum to kyun aae nahin lagte

    tumhaari aankh mein kyun gard si mahsus hoti hai

    wagarna bojh hai jis ko liye phirna hai kandhe par

    karen mahsus to ye zindagi mahsus hoti hai

    shajar wo bhi jise sincha ho apna KHun de de kar

    kabhi us ki bhi chhanw ajnabi mahsus hoti hai

    ye mere KHwab hain jo saya karte hain mere sar par

    mujhe is dopahar mein chhanw si mahsus hoti hai

    kisi ki guftugu ke darmiyan aksar na jaane kyun

    kahin gahri si koi KHamushi mahsus hoti hai

    zamin teri tarah main bhi safar mein hun ki jaise tu

    kabhi Thahri nahin Thahri hui mahsus hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now