tum pe suraj ki kiran aae to shak karta hun
tum pe sūraj kī kiran aa.e to shak kartā huuñ
chāñd dahlīz pe ruk jaa.e to shak kartā huuñ
maiñ qasīda tirā likkhūñ to koī baat nahīñ
par koī dūsrā dohrā.e to shak kartā huuñ
uḌte uḌte kabhī ma.asūm kabūtar koī
aap kī chhat pe utar jaa.e to shak kartā huuñ
phuul ke jhunD se haT kar koī pyāsā bhañvrā
tere pahlū se guzar jaa.e to shak kartā huuñ
''shiv'' to ek tarāshī huī mūrat hai magar
tū unheñ dekh ke sharmā.e to shak kartā huuñ
tum pe suraj ki kiran aae to shak karta hun
chand dahliz pe ruk jae to shak karta hun
main qasida tera likkhun to koi baat nahin
par koi dusra dohrae to shak karta hun
uDte uDte kabhi masum kabutar koi
aap ki chhat pe utar jae to shak karta hun
phul ke jhunD se haT kar koi pyasa bhanwra
tere pahlu se guzar jae to shak karta hun
shiw to ek tarashi hui murat hai magar
tu unhen dekh ke sharmae to shak karta hun
- Book : Chandi Ka waraq (Pg. 72)
- Author : Ahmad Kamal Parvazi
- Publication : Surkhwab Publication (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.